Us ko jab dekh ke banti hain ye anjan ankhen Yar phir der talak rehti hain veeran ankhen



اس کو جب دیکھ کے بنتی ہیں یہ انجان آنکھیں
یار پھر دیر تلک رہتی ہیں ویران آنکھیں

میری تحریر کے ہر لفظ کی نسبت ان سے
میرے لکھے سبھی افسانوں کا عنوان آنکھیں

آہ حسرت کہ رخِ یار کو تکتی ہی رہیں
جب غزل کہتی ہیں، بن جاتی ہیں دیوان آنکھیں

راستے اپنے الگ کیوں وہ کرے گا خود سے
مسترد کرتی ہیں اس کا ہر اک امکان آنکھیں

حسنِ مژگاں کے اشارے ہیں حیا کے پابند
میزبانی کے تقاضے کریں مہمان آنکھیں

وہ مری ذات کے ہر رنگ پہ رکھتا ہے نظر
ہائے مخبر یہ سدا دل کی پشیمان آنکھیں

شرمگیں، شبنمی، خود میں رہیں سمٹی یوں ہی
ہیں غنیمؔ اپنی، کبھی ہیں یہ مہربان آنکھیں
لبنیٰ مقبول غنیمؔ

Us ko jab dekh ke banti hain ye anjan ankhen
Yar phir der talak rehti hain veeran ankhen

Meri tehreer ke har lafz ki nisbat in se
Mere likhhe sabhi afsanon ka unwan ankhen

Aah hasrat ke rukh e yar ko takti hi raheen
Jab ghazal kehti hain, bab jati hain deevan ankhen

Raaste apne alag kyun wo kare ga khud se
Mustarid karti hain is ka har ek imkan ankhen

Husn e muygan ke ishare hain haya ke paband
Mezbani ke taqaze karen mehman ankhen

Wo meri zat ke har rang pe rakhta hai nazar
Haye mukhbir ye sadaa dil ki pasheman ankhen

Sharmgeen, shabnami, khud mein rahin simti youn hi

Hain Ghaneem apni kabhi hain ye mehrban ankhen
Luna Maqbool Ghaneem


No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo