Wo tere lams ka tha lutf ke khhilte thay gulab Baad tere ye gulaistan nikhherta nahi tha



وہ ترے لمس کا تھا لطف کہ کھلتے تھے گلاب
بعد تیرے یہ گلستان نکھرتا نہیں تھا

Wo tere lams ka tha lutf ke khhilte thay gulab
Baad tere ye gulaistan nikhherta nahi tha

 
دید کو آئے مہ و مہر پلٹتے نہیں تھے
وہ حسیں بام سے جب تک کہ اترتا نہیں تھا

 Deed ko aye mah o mehr palat-te nahi thay
Wo haseen baam se jab tak ke uterta nahi tha

 
اس قدر قحطِ محبت تھا مرے گاؤں میں
تجھ سے پہلے کسی پر کوئی بھی مرتا نہیں تھا

 Is qadar qeht e muhabbat tha mere ga’on mein
Tujh se pehle kisi par koi bhi marta nahi tha

 
ہم نے ہر زاویے سے پرکھا تھا وحشت کو مگر
تیرے ہجراں کا خلا ہم سے تو بھرتا نہیں تھا

Hum n hear zaviye se parkhha tha wehshat ko magar
Tere hijran ka khalaa hum se to bharta nahi tha

 
عامر بلوچ
Amir Baloch


No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo