Bas Khasare Se Dar Gaye Sahib Baat Hi Se Mukar Gaye Sahib



بس خسارے سے ڈر گئے صاحب
بات ہی سے مُکر گئے صاحب
Bas Khasare Se Dar Gaye Sahib

Baat Hi Se Mukar Gaye Sahib


آپ دِل میں اترنے والے تھے
آپ دِل سے اتر گئے صاحب
Aap Dil Mein Utarne Wale Thay

Aap Dil Se Utar Gaye Sahib


آپ تو زخم بھرنے آئے تھے
آپ تو آنکھ بھر گئے صاحب
Aap Tou Zakham Bharne Aaye Thay

Aap Tou Aankh Bhar Gaye Sahib


بات خنجر نہیں بجا لیکن
ہم تو اُس سے بھی مر گئے صاحب
Baat Khanjar Nahi Baja Lekin

Hum Tou Us Se Bhi Mar Gaye Sahib


آپ کی ناک رہ گئی لیکِن
کِتنے لوگوں کے سر گئے صاحب
Aapki Naak Reh Gai Lekin

Kitne Logon Ke Sar Gaye Sahib


No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo