Posts

Showing posts from July, 2024

Kuch rang rang loag hain, kuch rang rang dil Kuch yar dil ke shah hain kuch yar tangdil

Image
کچھ رنگ رنگ لوگ ہیں، کچھ رنگ رنگ دل کچھ یار دل کے شاہ ہیں کچھ یار تنگدل وہ دم بہ دم یقین ہے، میں یم بہ یم سراب وہ گام گام عقل ہے میں انگ انگ دل یہ جو تجھے دُکھا رہے ہیں بات بات پر چل ان پہ قہقہہ لگا اے دل، ملنگ دل افسوس عین رت میں اجڑ جانے والے پر آئے نہ راس تجھ کو مرے رنگ ڈھنگ دل وہ تیرے خواب زار ترے بعد کیا ہوئے اک بار بھی نہ دیکھا تو نے مڑ کے سنگدل Kuch rang rang loag hain, kuch rang rang dil Kuch yar dil ke shah hain kuch yar tangdil Wo dam ba dam yaqeen hai, main yam ba yam sarab Wo gam gam aql hai  main ang ang dil Ye jo tujhe dukhha rahe hain bat bat par Chal un pe qehqaha laga ay dil, malang dil Afsos ain rut mein ujad jane wale par Aye na raas tujh ko mere rang dhang dil Wo tere khwab zaar tere baad kia huay Ek baar bhi na dekha tu ne mud ke sangdil  

Wo mausamon se talluq nahi raha baqi Tumhare baad bahar o khizan se kuch na kaha

Image
وہ موسموں سے تعلق نہیں رہا باقی تمہارے بعد بہار و خزاں سے کچھ نہ کہا احمد فواد Wo mausamon se talluq nahi raha baqi Tumhare baad bahar o khizan se kuch na kaha Ahmed Fawad

Saf basta hain har mod pe kuch sang bakaf loag Ay zakhm e hunar lutf e pazeeraiy to ab hai

Image
صف بستہ ہیں ہر موڑ پہ کچھ سنگ بکف لوگ اے زخم ہنر لطف پذیرائی تو اب ہے اعتبار ساجد Saf basta hain har mod pe kuch sang bakaf loag Ay zakhm e hunar lutf e pazeeraiy to ab hai Aitbar Sajid

Kuch bat to hai teri baton mein Jo bat yahan tak aa pohnchi

Image
کچھ بات تو ہے تیری باتوں میں جــو بـات یـہاں تک آ پہنچی ہـم دل سـے گئے، دل تـم پہ گـیا اور بات کـہاں تک جا پہنچی Kuch bat to hai teri baton mein Jo bat yahan tak aa pohnchi Hum dil se gaye, dil tum pe gaya Aur bat kahan tak ja pohnchi

Mutmaen Yun Hain Keh Is Khaak Ki Weerani Mein Aik Hum Hi Nahi Sara Jahan Rehta Hai

Image
مطمئن یوں ہیں کہ اس خاک کی ویرانی میں ایک ہم ہی تو نہیں، سارا جہاں رہتا ہے یُوں بھی ہوتا ہے کہ وہ پاس ہی ہوتا ہے کہیں عمر بھر جس کے نہ ہونے کا گماں رہتا ہے

Go Keh Hum Safah e Hasti Peh Thay Ik Harf Ghalat Lekin Uthay Bhi Tou Ik Naqsh Bitha Kar Uthay

Image
گو کہ ہم صفحۂ ہستی پہ تھے اک حرف غلط لیکن اٹھے بھی تو اک نقش بٹھا کر اٹھے Go Keh Hum Safah e Hasti Peh Thay Ik Harf Ghalat Lekin Uthay Bhi Tou Ik Naqsh Bitha Kar Uthay مومن خاں مومن Momin Khan Momin  

Tujh se mile na thay to teri arzu na thi Tujh se mile to tere talabgar ho gaye

Image
تجھ سے ملے نہ تھے تو تیری آرزو نہ تھی تجھ سے ملے تو تو تیرے طلبگار ہو گئے Tujh se mile na thay to teri arzu na thi Tujh se mile to tere talabgar ho gaye

Aisa thodi hai ke abaad nahi rehta hai Dil tere baad magar shad nahi rehta hai

Image
ایسا تھوڑی ہے کہ آباد نہیں رہتا ہے دل تیرے بعد مگر شاد نہیں رہتا ہے اپنی مرضی سے بناتا ہے دل اپنا پنجرہ یہ کبوتر کبھی آزاد نہیں رہتا ہے Aisa thodi hai ke abaad nahi rehta hai Dil tere baad magar shad nahi rehta hai Apni marzi se banata hai dil apna pinjra Ye kabutar kabhi azad nahi rehta hai

Ap se pehle kaam az kam main to apne paas tha Ap itna paas aye main akela reh gaya

Image
آپ سے پہلے کم از کم میں تو اپنے پاس تھا آپ اتنا پاس آئے میں اکیلا رہ گیا Ap se pehle kaam az kam main to apne paas tha Ap itna paas aye main akela reh gaya

Hamare dil mein nahi, ankh mein thehr jao Ke ye ilaqa bayaban hone wala nahi

Image
ﮨﻤﺎﺭﮮ ﺩﻝ ﻣﯿﮟ ﻧﮩﻴﮟ، ﺁﻧﮑﮫ ﻣﯿﮟ ﭨﮭﮩﺮ ﺟﺎﺅ ﮐﮧ ﯾﮧ ﻋﻼﻗﮧ ﺑﯿﺎﺑﺎﻥ ﮨﻮﻧﮯ ﻭﺍﻻ ﻧﮩﯿﮟ Hamare dil mein nahi, ankh mein thehr jao Ke ye ilaqa bayaban hone wala nahi

Sochta hoon ke chhod doon us ko Aur phir sans Rukne lagti hai

Image
سوچتا ہوں کہ چھوڑ دوں اس کو اور پھر سانس رکنے لگتی ہے Sochta hoon ke chhod doon us ko Aur phir sans Rukne lagti hai

Hum ne mana ke chalo markazi mujrim hum hain Kuch dinon tum e bhi to hum se muhabbat ki thi

Image
ہم نے مانا کہ چلو مرکزی مجرم ہم ہیں کچھ دنوں تم نے بھی تو ہم سے محبت کی تھی نفع نقصان کی باتیں نہیں جچتیں تم پر ہم نے کب یار تیرے ساتھ تجارت کی تھی Hum ne mana ke chalo markazi mujrim hum hain Kuch dinon tum e bhi to hum se muhabbat ki thi Nafa nqsan ki baten nahi jachteen tum par Hum ne kab yar tere sath tijarat ki hai

Kuch bat to hai teri baton mein Jo bat yahan tak aa pohnchi

Image
کچھ بات تو ہے تیری باتوں میں جــو بـات یـہاں تک آ پہنچی ہـم دل سـے گئے، دل تـم پہ گـیا اور بات کـہاں تک جا پہنچی Kuch bat to hai teri baton mein Jo bat yahan tak aa pohnchi Hum dil se gaye, dil tum pe gaya Aur bat kahan tak ja pohnchi

Teri marzi hai, tu rahe, na rahe Tujh pe ab ikhtiyar thodi hai

Image
‏تیری مرضی ہے، تُو رہے، نہ رہے تجھ پہ اب اختیار تھوڑی ہے Teri marzi hai, tu rahe, na rahe Tujh pe ab ikhtiyar thodi hai   دِل میں تم ہو، تمہاری یادیں ہیں کوئی اُجڑا دیار تھوڑی ہے Dil mein tum ho, tumhari yaden hain Koi ujda diyar thodi hai   تیری یادوں سے زندگی ہے مری تب ہی کہتا ہوں یار، تھوڑی ہے Teri yadon se zindagi hai meri Tab hi kehta hoon yar, thodi hai   دائمی عشق مجھ کو لاحق ہے چار دِن کا بخار تھوڑی ہے Daiymi ishq mujh ko lahaq hai Char din ke bukhar thodi hai

Agar tum kaho to main khud ko bhula doon Tumhen bhool jane ki taqat nahi hai

Image
اگر تم کہو تو میں خود کو بھُلاٰ دوں تمہیں بھُول جانے کی طاقت نہیں ہے Agar tum kaho to main khud ko bhula doon Tumhen bhool jane ki taqat nahi hai

Hazaron loag hain jo mujh ko chahte hain magar Tu pehla shakhs hai jis se mujhe muhabbat hai

Image
ہزاروں لوگ ہیں جو مجھ کو چاہتے ہیں مگر تُو پہلا شخص ہے جس سے مجھے مُحبت ہے Hazaron loag hain jo mujh ko chahte hain magar Tu pehla shakhs hai jis se mujhe muhabbat hai

Aur kuch bhi nahi asase mein Aik bekar si udasi hai

Image
اور کچھ بھی نہیں اثاثے میں ایک بیکار سی اداسی ہے Aur kuch bhi nahi asase mein Aik bekar si udasi hai

Tumhari chup aur hamara lehja kabhi milen ge to bat ho gi Hamare ankhen, tumhara chehra kabhi milen ge to bat ho gi

Image
تمہاری چپ اور ہمارا لہجہ کبھی ملیں گے تو بات ہو گی ہماری آنکھیں تمہارا چہرہ کبھی ملیں گے تو بات ہو گی Tumhari chup aur hamara lehja kabhi milen ge to bat ho gi Hamare ankhen, tumhara chehra kabhi milen ge to bat ho gi

Maut ka intizar kaun kare Aao ek dosre pe mar jayen

Image
موت کا انتظار کون کرے آؤ اک دوسرے پہ مر جائیں Maut ka intizar kaun kare Aao ek dosre pe mar jayen

Tum ne chahat ka maan toda hai Hum tumhen hijr mein ghhaseeten ge

Image
تم نے چاہت کا مان توڑا ہے ہم تمہیں ہجر میں گھسیٹیں گے Tum ne chahat ka maan toda hai Hum tumhen hijr mein ghhaseeten ge

Chahte hain tamasha mere andar kaiy mausam Lao koi sehra meri wehshat ke barabar

Image
چاہتے ہیں تماشہ ميرے اندر کئى موسم لاؤ کوئى صحرا ميرى وحشت کے برابر Chahte hain tamasha mere andar kaiy mausam Lao koi sehra meri wehshat ke barabar

Ap ne anay mein kyun takheer ki Hum yahan apni ghhadi se lad pade

Image
آپ نے آنے میں کیوں تاخیر کی ہم یہاں اپنی گھڑی سے لڑ پڑے Ap ne anay mein kyun takheer ki Hum yahan apni ghhadi se lad pade

Is sa maza jahan mein dhoonde na mil sake Karne ki shai hai yar muhabbat ki simt aa

Image
اِس سا مزہ جہان میں ڈھونڈے نہ مِل سکے کــــرنے کی شَے ہے یار، محبت کــی سمت آ Is sa maza jahan mein dhoonde na mil sake Karne ki shai hai yar muhabbat ki simt aa

Ye mehroomi nahi, paas e wafa hai Koi tere siwa dekha na jaye

Image
یہ محرومی نہیں پاسِ وفا ہے کوئی تیرے سوا دیکھا نہ جائے Ye mehroomi nahi, paas e wafa hai Koi tere siwa dekha na jaye

Aik Woh Itna Khoobro Touba Us Peh Chune Ki Aarzoo Touba

Image
ایک وہ اتنا خوبرو توبہ اُس پہ چُھونے کی آرزو، توبہ ہاتھ کانپیں گے، روح مچلے گی جب وہ آئے گا روبرو توبہ چاند تاروں سے رات سجتی ہوئی تیری آواز اور تُو توبہ

Bosa na de, gale na laga hath mat mila Ay yar e khush jamal magar samne to aa

Image
بوسہ نہ دے، گلے نہ لگا، ہاتھ مت ملا اے یارِ خوش جمال مگر سامنے تو آ Bosa na de, gale na laga hath mat mila Ay yar e khush jamal magar samne to aa

Saja hai ishq ka bazar chahe tum jidhar dekho Yahan hum phir bhi rehte hain, hamara ye hunar dekho

Image
سجا ہے عشق کا بازار چاہے تم جدھر دیکھو یہاں ہم پھر بھی رہتے ہیں، ہمارا یہ ہُنر دیکھو   Saja hai ishq ka bazar chahe tum jidhar dekho Yahan hum phir bhi rehte hain, hamara ye hunar dekho   مجھے بس تم ہی دکھتے ہو کسی چہرے کو گر دیکھوں محبت کا ہوا ہے مجھ پہ کچھ ایسا اثر دیکھو Mujhe bas tum hi dikhhte ho kisi chehre ko gar dekhoon Muhabbat ka hua hai mujh pe kuch aisa asar dekho

Tumhen hisab pe hai kitni dastaras lekin Muhabbaton mein khasare ka dukh samajhte ho

Image
تمہیں حساب پہ ہے کتنی دسترس لیکن محبتوں میں خسارے کا دکھ سمجھتے ہو Tumhen hisab pe hai kitni dastaras lekin Muhabbaton mein khasare ka dukh samajhte ho ہمارے ہنسنے پہ تم رو دیے تو ظاہر ہے دلوں کو چیرتے آرے کا دکھ سمجھتے ہو Hamare hansne pe tum ro diye to zahir hai Dilon ko cheerte aray ka dukh samajhte ho

Wo koi aam si ladki to nahi ho sakti Main jis ko apna kahoon, ishq karoon aur ro padoon

Image
وہ کوئی عام سا لڑکی تو نہیں ہو سکتی میں جس کو اپنا کہوں،عشق کروں اور رو پڑوں Wo koi aam si ladki to nahi ho sakti Main jis ko apna kahoon, ishq karoon aur ro padoon

Koi to rat ho aisi udas raton mein Chaand poora ho, phool mehke hon aur tum aao

Image
‏کوئی تو رات ہو ایسی اُداس راتوں میں چاند پُورا ہو، پُھول مہکے ہوں اور تُم آؤ Koi to rat ho aisi udas raton mein Chaand poora ho, phool mehke hon aur tum aao

Yahan tehzeeb bikti hai, yahan farman bikte hain Zara tum daam to bolo, yahan eeman bikte hain

Image
یہاں تہذیب بکتی ہے، یہاں فرمان بکتے ہیں ذرا تم دام تو بولو یہاں ایمان بکتے ہیں Yahan tehzeeb bikti hai, yahan farman bikte hain Zara tum daam to bolo, yahan eeman bikte hain محبت دیکھ لی میں نے زمانے بھر کے لوگوں کی جہاں کچھ دام زیادہ ہوں، وہاں انسان بکتے ہیں Muhabbat dekh li main ne zamane bhar ke logon ki Jahan kuch daam ziyada hon, wahan insan bikte hain

Ye bin soche guzar jate hain apni jan se aksar Aray wa’iz, wafa walon ko samjhaya nahi karte

Image
یہ بِن سوچے گزر جاتےہیں اپنی جان سے اکثر ارےواعظ، وفا والوں کو سمجھایا نہیں کرتے Ye bin soche guzar jate hain apni jan se aksar Aray wa’iz, wafa walon ko samjhaya nahi karte   یہی ہے سنتِ صدیق، چاہے سانپ بھی ڈس لے کوئی سویا ہو جھولی میں تو چِلایا نہیں کرتے Yehi hai sunnat e Siddique, chahe sanp bhi das le Koi soya ho jholi mein to chillaya nahi karte

Qehqaha kis ne lagaya mere haal e zaar par Kis ko zer e daam meri bebasi achi lagi

Image
قہقہہ کس نے لگایا میرے حالِ زار پر کس کو زیرِ دام میری بے بسی اچھی لگی Qehqaha kis ne lagaya mere haal e zaar par Kis ko zer e daam meri bebasi achi lagi   درد بخشا، غم دیا آنسو عنایت کر دیے میرے محسن، یہ تیری دریا دلی اچھی لگی   Dard bakhsha, gham dia, ansu inayet kar diye Mere mohsin ye teri dariya dili achi lagi

Hazaron loag hain jo mujh ko chahte hain magar Tu pehla shakhs hai jis se mujhe muhabbat hai

Image
ہزاروں لوگ ہیں جو مجھ کو چاہتے ہیں مگر تُو پہلا شخص ہے جس سے مجھے مُحبت ہے Hazaron loag hain jo mujh ko chahte hain magar Tu pehla shakhs hai jis se mujhe muhabbat hai

Ay ishq, nahi mumkin ab laut ke ghar jana Ya dil mein uter jana ya dil se uter jana

Image
اَے عِشق، نہیں ممکن اَب لَوٹ کَے گھر جانا یا دِل میں اُتَر جانا یا دِل سے اُتَر جانا   Ay ishq, nahi mumkin ab laut ke ghar jana Ya dil mein uter jana ya dil se uter jana   ہو جَذب کی جَب مَنزِل، ہَستی و عَدَم کیسے کیا پار اُتَرنا اُور کیا ڈُوب کَے مَر جانا Ho jazb ki jab manzil, hasti o adam kaise Kia paar uterna aur kia doob ke mar jana

Ek baar tu chhu le jis, murjhaye na wo phool Ek baar paden tere jidhar pair udhar khair

Image
اک بار تُو چھولے جسے، مرجھاۓ نہ وہ پھول اک بار پڑیں تیرے جدھر پیر اُدھر خیر نعمان شفیق Ek baar tu chhu le jis, murjhaye na wo phool Ek baar paden tere jidhar pair udhar khair Noman Shafiq

Ay mere guzre zamanon ki adhoori khwahish Tu mile to mujhe takmeel ka sukh hasil ho

Image
اے میرے گزرے زمانوں کی اَدھوری خواہش تُو مِلے تَو مجھے تَکمیل کا سُکھ حاصل ہو Ay mere guzre zamanon ki adhoori khwahish Tu mile to mujhe takmeel ka sukh hasil ho

Ajab shai hai sukhan ki sarbulandi Mere sar ko jhukati ja rahi hai

Image
عجب شے ہے سخن کی سر بلندی مرے سر کو جھکاتی جارہی ہے عارف امام Ajab shai hai sukhan ki sarbulandi Mere sar ko jhukati ja rahi hai Arif Imam

Wo aik sham jo parades mein guzarti hai Tumhen khabar hi nahi, dil pe kia guzarti hai

Image
وہ ایک شام جو پردیس میں گزرتی ہے تمہیں خبر ہی نہیں، دل پہ کیا گزرتی ہے Wo aik sham jo parades mein guzarti hai Tumhen khabar hi nahi, dil pe kia guzarti hai

Tu apni maseehaiy liye phirta ho bechain Aur shehr mein ek shakhs bhi beemar na howe

Image
تُو اپنی مسیحائی لیے پھرتا ہو بے چین اور شہر میں اک شخص بھی بیمار نہ ہووے نعمان شفیق Tu apni maseehaiy liye phirta ho bechain Aur shehr mein ek shakhs bhi beemar na howe Noman Shafiq

Teri tasveer doob jaye gi Ashk ankhon mein youn bhare huay hain

Image
تیری تصویر ڈوب جائے گی اشک آنکھوں میں یوں بھرے ہوئے ہیں Teri tasveer doob jaye gi Ashk ankhon mein youn bhare huay hain   تو کبھی عشق کر تو سمجھے گا کس مصیبت میں ہم پڑے ہوئے ہیں Tu kabhi ishq kar to samjhe ga Kis museebat mein hum pade huay hain

Bohat se loag hain sahil pe gosh bar awaz Sadayen ati hain doobe huay safeenon se

Image
بہت سے لوگ ہیں ساحل پہ گوش بر آواز صدائیں آتی ہیں ڈوبے ہوئے سفینوں سے یہ کیا کہ تم نے توجہ مری ہٹا دی ہے میں سانپ جھاڑنے والا تھا آستینوں سے نسیم عباسی Bohat se loag hain sahil pe gosh bar awaz Sadayen ati hain doobe huay safeenon se Ye kia ke tum ne tawajju meri hata di hai Main sanp jhaadne wala tha asteenon se Naseem Abbasi

Ek naqsh hai tera ke mitaye nahi mit'ta Harchand ke sab kuch ba Khuda bhool chuka hoon

Image
اِک نقش ہے تیرا کہ مٹائے نہیں مٹتا ہر چند کہ سب کچھ باخدا بھول چُکا ہوں جوش ملیح آبادی Ek naqsh hai tera ke mitaye nahi mit'ta Harchand ke sab kuch ba Khuda bhool chuka hoon Josh Maleeh Abadi

Koi bataye ke guzre huay khushi ke din Kahan milen ge, unhen dhoondne agar jayen

Image
کوئی بتائے کہ گزرے ہوئے خوشی کے دن کہاں ملیں گے، انہیں ڈھونڈنے اگر جائیں آغا حشر کاشمیری Koi bataye ke guzre huay khushi ke din Kahan milen ge, unhen dhoondne agar jayen Agha Hashr Kaashmiri

Muqaddar in ki lakeeron se maat khha hi gaye Hum aik dosre ka hath choomne wale

Image
مقدروں کی لکیروں سے مات کھا ہی گئے ہم ایک دوسرے کا ہاتھ چومنے والے اُسی مقام پہ کل مجھ کو دیکھ کر تنہا بہت اُداس ہوئے پھول بیچنے والے جمال احسانی Muqaddar in ki lakeeron se maat khha hi gaye Hum aik dosre ka hath choomne wale Usi muqam pe kal mujh ko dekh kar tanha Bohat udas huay phool bechne wale Jamal Ehsani

Giraya aya hoon main ashk sare raste mein Dua karo ke nishani samajh mein aa jaye

Image
‏گِراتا آیا ہُوں میں اَشک سارے رستے میں دُعا کرو کہ نِشانی سمجھ میں آ جائے اشفاق ناصر Giraya aya hoon main ashk sare raste mein Dua karo ke nishani samajh mein aa jaye Ashfaq Nasir

Is waqt badan par hai to qeemat nahi is ki Utre ga mere tan se to sar bat kare ga

Image
اِس وقت بدن پر ہے تو قیمت نہیں اس کی اترے گا میرے تن سے تو سر بات کرے گا راشد عاؔرف Is waqt badan par hai to qeemat nahi is ki Utre ga mere tan se to sar bat kare ga Rashid Arif

Tamam din ki thakan se main bujh raha tha magar Kisi ki yad ka chehra nikhher gaya sar e sham

Image
تمام دن کی تھکن سے میں بجھ رہا تھا مگر کسی کی یاد کا چہرہ نکھر گیا سرِ شام پیرزادہ قاسم Tamam din ki thakan se main bujh raha tha magar Kisi ki yad ka chehra nikhher gaya sar e sham Peer Zada Qasim

Hamari cheekh ne ek bheed to ikattha ki Magar hamara pukara hua nahi aya

Image
‏ہماری چیخ نے اک بھیڑ تو اکٹھا کی مگر ہمارا پکارا ہوا نہیں آیا شارق کیفی Hamari cheekh ne ek bheed to ikattha ki Magar hamara pukara hua nahi aya Shafiq Kaifi

Us ke lehje mein qayamat ki fasoon kari thi Loag awaz ki lazzat mein giriftar mile

Image
اُس کے لہجے میں قیامت کی فسوں کاری تھی لوگ آواز کی لذت میں گرفتار ملے ساقی فاروقی Us ke lehje mein qayamat ki fasoon kari thi Loag awaz ki lazzat mein giriftar mile Saqi Farooqui