Dhoop sehni hai magar rasta dhaka rakhna hai Hum darakhton ne hi jangal ko haraa rakhna hai



دھوپ سہنی ہے مگر رستہ ڈھکا رکھنا ہے
ہم درختوں نے ہی جنگل کو ہرا رکھنا ہے

تاکہ زنداں میں سہولت سے گزر پائے ہوا
جسم کو جگہ تو دینی ہے خلا رکھنا ہے

اے مسیحا _ تری خیریں کہ وہ اچھا ہو گا
تُو نے جس دل پہ ترا دستِ شفا رکھنا ہے

زادِ رہ حسبِ ضرورت ہے اٹھایا سب نے
ہم ابھی سوچ رہے ہیں، ہمیں کیا رکھنا ہے

جب سفر کرنا ہے تو کیسا تردد اس میں
دشت میں کس نے بھلا سمت نما رکھنا ہے
ذکی عاطف

Dhoop sehni hai magar rasta dhaka rakhna hai
Hum darakhton ne hi jangal ko haraa rakhna hai

Take zindan mein sahulat se guzar paye hawa
Jism ko jagah to deni hai khalaa rakhna hai

Ay maseeha, teri khairen ke wo acha ho ga
Tu ne jis dil pe tera dast e shifa rakhna hai

Zaad e reh hasb e zarurat hai uthaya sab ne
Hum abhi soch rahe hain, humen kia rakhna hai

Jab safar karna hai to kaisa taraddud is mein
Dasht mein kis ne bhalaa simt numa rakhna hai

Zaki Atif


No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo