Kisi ke baad bazahir to kuch nahi badla Hamare pa’on mein tab se nahi zameen lekin



کسی کے بعد بظاہر تو کچھ نہیں بدلا
ہمارے پاؤں میں تب سے نہیں زمیں لیکن

جہانِ عشق سے باہر بھی ایک دنیا ہے
دلایا دل کو بہت ہم نے یہ یقیں، لیکن

یقیں مجھے ہے، مرے ساتھ سانپ کوئی نہیں
ہر ایک ہاتھ کی ​ہوتی ہے آستیں لیکن
اتباف ابرک

Kisi ke baad bazahir to kuch nahi badla
Hamare pa’on mein tab se nahi zameen lekin

Jahan e ishq se bahir bhi aik duniya hai
Dilaya dil ko bohat hum ne ye yaqeen, lekin

Yaqeen mujhe hai, mere sath koi sanp nahi
Har aik hath ki hoti hai asteen lekin

Atbaf Abrak


No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo