Fuzool zehni mushaqqat talab nahi karte Yaqeen ho to wazahat talab nahi karte



فضول ذہنی مشقت طلب نہیں کرتے
یقین ہو تو وضاحت طلب نہیں کرتے

ہمیں ہماری اداسی عزیز ہے سو ہم
کسی کی وقتی عنایت طلب نہیں کرتے

ہمیشہ رکھ کے مُقَدّم انا کو چلتے ہیں
جھکا دے سر کو جو دولت، طلب نہیں کرتے

ہمارا ماضی ہمیں بار بار کہتا ہے
منافقوں کی رفاقت طلب نہیں کرتے

ہم ایسے سانپوں کی فطرت سے خوب واقف ہیں
سو چاند چہروں کی چاہت طلب نہیں کرتے

فصیلِ جاں میں ہیں رخنے ہزاروں لیکن ہم
کوئی ادھاری مرمت طلب نہیں کرتے

ہمارے زخم عطا ہیں زمین زادوں کی
سو آسماں سے اعانت طلب نہیں کرتے
نعمان شفیق

Fuzool zehni mushaqqat talab nahi karte
Yaqeen ho to wazahat talab nahi karte

Humen hamari udasi aziz hai so hum
Kisi ki waqti inayet talab nahi karte

Hamesha rakh ke muqaddam anaa ko chalte hain
Jhuka de sar ko jo daulat talab nahi karte

Hamara mazi humen baar baar kehta hai
Munafiqon ki rafaqat talab nahi karte

Hum aise sanpon ki fitrat se khoob waqif hain
So chaand chehron ki chahat talab nahi karte

Faseel e jan mein hain rakhne hazaron lekin hum
Koi udhari murammat talab nahi karte

Hamare zakhm ataa hain zameen zaadon ki
So asman se a’anat talab nahi karte

Noman Shafiq

 

No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo