Nigah e fuqr mein shan e sikandari kia hai Khiraj ki jo gadaa ho wo qaisari kia hai



نگاہِ فقر میں شانِ سکندری کیا ہے​
خراج کی جو گدا ہو، وہ قیصری کیا ہے

بُتوں سے تجھ کو امیدیں، خدا سے نومیدی​
مجھے بتا تو سہی اور کافری کیا ہے

فلک نے ان کو عطا کی ہے خواجگی کہ جنھیں​
خبر نہیں روشِ بندہ پروری کیا ہے​

فقط نگاہ سے ہوتا ہے فیصلہ دل کا​
نہ ہو نگاہ میں شوخی تو دلبری کیا ہے​

کسے نہیں ہے تمنائے سروری لیکن​
خودی کی موت ہو جس میں، وہ سروری کیا ہے
علامہ محمد اقبال

Nigah e fuqr mein shan e sikandari kia hai
Khiraj ki jo gadaa ho wo qaisari kia hai

Buton se tujh ko umeeden, Khuda naumeedi
Mujhe bata to sahi aur kafiri kia hai

Falak ne un ko ataa ki hai khwajgi ke jinhen
Khabar nahi, ravish e banda parwari kia hai

Faqat nigah se hota hai faisla dil ka
Na ho nigah mein shokhi to dilbari kia hai

Kise nahi hai tamanna e sarwari lekin
Khudi ki maut ho jis mein, wo sarwari kia hai

Allama Muhammad Iqbal


No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo