Umeed e khasta pa hai aur main hoon Dil e be asra hai aur main hoon



امیدِ خستہ پا ہے اور میں ہوں
دلِ بے آسرا ہے اور میں ہوں

تلاشوں خال و خد کی لو کہاں پر
غبارِ آئینہ ہے اور میں ہوں

گھٹن سینے پہ سل رکھتی ہے دکھ کی
سکوتِ ناروا ہے اور میں ہوں

نہیں ہے دور تک ذی روح کوئی
اکیلا راستہ ہے اور میں ہوں

تمہاری یاد سے بوجھل ہے سینہ
طلب کی انتہا ہے اور میں ہوں

نہ پوچھو حال اس دشتِ خرد کا
سکوں کا مدعا ہے اور میں ہوں

سسکتی ہے نظر میں رائیگانی
فشارِ بے بہا ہے اور میں ہوں
عبدالرحمان واصف

Umeed e khasta pa hai aur main hoon
Dil e be asra hai aur main hoon

Talashoon khal o khad ki lau kahan par
Ghubar e aiyna hai uar main hoon

Ghhutan seene pe sil rakhti hai dukh ki
Sukoot e narawa hai aur main hoon

Nahi hai door tak zi rooh koi
Akela raasta hai aur main hoon

Tumhari yad se bojhal hai seena
Talab ki intiha hai aur main hoon

Na poocho haal is dasht e khirad ka
Sukoon ka madua hai aur main hoon

Sisakti hai nazar mein rayegani
Fishar e be baha hai aur main hoon

Abdul Rahman Wasif


No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo