Wo dil bhi jalate hain, rakh dete hain marham bhi Kia tarfa tabiyat hai, shola bhi hain, shabnam bhi



وہ دل بھی جلاتے ہیں، رکھ دیتے ہیں مرہم بھی
کیا طرفہ طبیعت ہے، شعلہ بھی ہیں، شبنم بھی

Wo dil bhi jalate hain, rakh dete hain marham bhi
Kia tarfa tabiyat hai, shola bhi hain, shabnam bhi

خاموش نہ تھا دل بھی، خوابیدہ نہ تھے ہم بھی
تنہا تو نہیں گزرا تنہائی کا عالم بھی
Khamisa na tha dil bhi, khwabeedah na thay hum bhi
Tanha to nahi guzra tanhaiy ka aalam bhi

 
چھلکا ہے کہیں شیشہ ڈھلکا ہے کہیں آنسو
گلشن کی ہواؤں میں نغمہ بھی ہے، ماتم بھی
Chhalka hai kahin sheesha dhalka hai kahin ansu
Gulshan ki hawaon mein naghma bhi hai, matam bhi

 
ہر دل کو لبھاتا ہے غم تری محبت کا
تیری ہی طرح ظالم دلکش ہے ترا غم بھی
Har dil ko lubhata hai gham teri muhabbat ka
Teri hi tarah zalim dilkash hai tera gham bhi

 
انکار محبت کو توہین سمجھتے ہیں
اظہار محبت پر ہو جاتے ہیں برہم بھی

Inkar e muhabbat ko tauheen samajhte hain
Izhar e muhabbat par ho jate hain barham bhi

 
تم رک کے نہیں ملتے، ہم جھک کے نہیں ملتے
معلوم یہ ہوتا ہے، کچھ تم بھی ہو، کچھ ہم بھی
Tum ruk ke nahi milte hum jhuk ke nahi milte
Maloom ye hota hai, kuch tum bhi ho, kuch hum bhi

 

No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo