Ankhon se ku e yar ka manzar nahi gaya Halanke das baras se main us ghar nahi gaya



آنکھوں سے کُوئے یار کا منظر نہیں گیا
حالانکہ دس برس سے میں اُس گھر نہیں گیا 

Ankhon se ku e yar ka manzar nahi gaya
Halanke das baras se main us ghar nahi gaya

اُس نے مذاق میں کہا، میں روٹھ جاؤں گی
لیکن مِرے وجود سے یہ ڈر نہیں گیا 

Us n mazaq mein kaha, main rooth jaoun gi
Lekin mere wujood se ye dar nahi gaya

 
سانسیں اُدھار لے کے گذاری ہے زندگی
حیران وہ بھی تھی کہ میں کیوں مَر نہیں گیا 

Sansen udhaar le ke guzari hai zindagi
Hairan wo bhi thi ke main kyun mar nahi gaya

 
شامِ وداعی لاکھ تسلی کے باوجود
آنکھوں سے اُس کی دُکھ کا سمندر نہیں گیا 

Sham e widaiy lakh tasalli ke bawujood
Ankhon se us ki dukh ka samundar nahi gaya

 
اس گھر کی سیڑھیوں نے صدائیں تو دیں مگر
میں خواب میں رہا کبھی اوپر نہیں گیا

Us ghar ki seedhiyon ne sadayen to deen magar
Main khwab mein raha kabhi ooper nahi gaya

 
پیروں میں نقش ایک ہی دہلیز تھی حسنؔ
اس کے سوا میں اور کسی در نہیں گیا

Pairon mein naqsh aik hi dehleez thi Hassan
Us ke siwa main aur kisi dar nahi gaya

 
حسنؔ عباس رضا
Hassan Abbas Raza


No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo