Ye dukh bhi to shamil hai hum dono ke murjhane mein Pehle jaisi bat nahi hai ab apne yarane mein



یہ دکھ بھی تو شامل ہے ہم دونوں کے مرجھانے میں
پہلے جیسی بات نہیں ہے اب اپنے یارانے میں

Ye dukh bhi to shamil hai hum dono ke murjhane mein
Pehle jaisi bat nahi hai ab apne yarane mein

 
سوچوں کی ہر سمت کسی احساس کا ماتم جاری ہے
وحشت آنکھیں کھول رہی ہے یادوں کے تہہ خانے میں 

Sochon ki har simt kisi ehsas ka matam jaari hai
Wehshat ankhen khhol rahi hai yadon ke teh khane mein

 
ہر جانب انسان پرستی اور نفرت ہے زوروں پر
یعنی تھوڑا وقت بچا ہے لوگوں کے گھبرانے میں

Har janib insan parasti aur nafrat hai zoron par
Yani thoda waqt bacha hai logon ke ghhabrane mein


No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo