Awaz ke humrah sarapa bhi to dekhoon Ay jan e sukhan, main tera chehra bhi to dekhoon



آواز کے ہمراہ سراپا بھی تو دیکھوں
اے جان سخن، میں تیرا چہرہ بھی تو دیکھوں 

Awaz ke humrah sarapa bhi to dekhoon
Ay jan e sukhan, main tera chehra bhi to dekhoon

 
دستک تو کچھ ایسی ہے کہ دل چھونے لگی ہے
اس حبس میں بارش کا یہ جھونکا بھی تو دیکھوں 

Dastak to kuch aisi hai ke dil chhune lagi hai
Is habs mein barish ka ye jhaunka bhi to dekhoon

 
صحرا کی طرح رہتے ہوئے تھک گئیں آنکھیں
دکھ کہتا ہے، میں اب کوئی دریا بھی تو دیکھوں 

Sehra ki tarah rehte huay thak gayeen ankhen
Dukh kehta hai, main ab koi dariya bhi to dekhoon

 
یہ کیا کہ وہ جب چاہے مجھے چھین لے مجھ سے
اپنے لیے وہ شخص تڑپتا بھی تو دیکھوں 

Ye kia ke wo jab chahe mujhe cheen le mujh se
Apne liye wo shakhs tadapta bhi to dekhoon

اب تک تو مرے شعر حوالہ رہے تیرا
اب میں تری رسوائی کا چرچا بھی تو دیکھوں 

Ab tak to mere sher hawala rahe tera
Ab main teri rusvaiy ka charcha bhi to dekhoon

 
اب تک جو سراب آئے تھے، انجانے میں آئے
پہچانے ہوئے رستوں کا دھوکہ بھی تو دیکھوں

Ab tak jo sarab aye thay anjane mein aye
Pehchane huay raston ka dhoka bhi to dekhoon

 
پروین شاکر
Parveen Shakir

 

No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo