Kisi ke ishq mein apna thikana bhool jate hain Muhabbat karne wale muskurana bhool jate hain



کسی کے عشق میں اپنا ٹھکانہ بھول جاتے ہیں
محبت کرنے والے مسکرانا بھول جاتے ہیں

یہ ایسے لوگ ہیں، بس ایک چہرے کی محبت میں
یہ ایسے لوگ ہیں سارا زمانہ بھول جاتے ہیں

شجر آواز دیتا ہے یہ شاخیں بین کرتی ہیں
پرندے لوٹ کر جس روز آنا بھول جاتے ہیں

مری غربت مجھے اپنوں سے ملنے ہی نہیں دیتی
مرے اپنے مجھے اکثر بلانا بھول جاتے ہیں

کسی بچے کی طرح دل یہاں آنسو بہاتا ہے
اِسے جب چھیڑنا اور گدگدانا بھول جاتے ہیں

ہمیں کتنی محبت ہے اُسے ہم نے بتانا ہے
مگر جب پاس جاتے ہیں، بتانا بھول جاتے ہیں

نجانے کیوں جہاں والے ہواؤں کے مخالف ہیں
لبِ صحرا کوئی خیمہ لگانا بھول جاتے ہیں

کہانی ختم ہو جائے گی ساری زندگانی کی
اگرچہ چاک کوزہ گر گھمانا بھول جاتے ہیں

کئی اشعار ہوتے ہیں لب و رخسار پر تیرے
ترا چہرہ جو کاغذ پر بنانا بھول جاتے ہیں
شفیق عطاری

Kisi ke ishq mein apna thikana bhool jate hain
Muhabbat karne wale muskurana bhool jate hain

Ye aise loag hain, bas aik chehre ki muhabbat mein
Ye aise loag hain sara zamana bhool jate hain

Shajar awaz deta hai, ye shakhon bain karti hain
Parinde luat kar jis roz ana bhool jate hain

Meri ghurbat mujhe apnon se milne hi nahi deti
Mere apne mujhe aksar bulana bhool jate hain

Kisi bache ki tarah dil yahan ansu bahata hai
Isay jab chhedna aur gudgudana bhool jate hain

Humen kitni muhabbat hai, usay hum ne batana hai
Magar jab paas jate hain batana bhool jate hain

Najane kyun jahan wale hawaon ke mukhalif hain
Lab e sehra koi khaima lagana bhool jate hain

Kahani khatm ho jaye gi sari zindagani ki
Agarche chak kooza gar ghhumana bhool jate hain

Kaiy ashar hote hain lab o rukhsar par tere
Tera chehra jo kaghaz par banana bhool jate hain

Shafiq Attari


No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo