Dila ke us ko yaqeen, be yaqeen hona pada Ke asman ko bhi akhir zameen hona pada



دلا کے اس کو یقیں، بے یقین ہونا پڑا
کہ آسماں کو بھی آخر زمین ہونا پڑا
Dila ke us ko yaqeen, be yaqeen hona pada
Ke asman ko bhi akhir zameen hona pada

 
جسے خزاں کی ہوائیں کبھی نہ چھو پائیں
مرے خیال کو اتنا حسین ہونا پڑا
Jise khizan ki hawayen kabhi na chhu payeen
Mere khayal ko itna haseen hona pada

 
مرے خلوص کا وہ آخری مکاں تھا جہاں
بھلا کے اس کو زمانہ مکین ہونا پڑا
Mere khuloos ka wo akhri makan tha jahan
Bhula ke us ko zamana, makeen hona pada

 
وہ معجزہ تھا دعائیں تھیں یا صحیفہ تھا
کہ میرے دل کو بھی آخر جبین ہونا پڑا
Wo mojza tha, duaen theen ya saheefa tha
Ke mere dil ko bhi akhir jabeen hona pada


منزہ سحر
Munazza Sahar


No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo