Sun ke tera naam utha dil mein shor e iztirab Tujh se yani ab bhi dil ko wasta koi to hai



سُن کے تیرا نام اُٹھا دل میں شورِ اِضْطِراب
تجھ سے یعنی اب بھی دل کو واسطہ کوئی تو ہے 

Sun ke tera naam utha dil mein shor e iztirab
Tujh se yani ab bhi dil ko wasta koi to hai

خط سے کچھ گالی سنا کر نامہ بر طنزاً کہے
فتنہ گر کی اس محبت کی وجہ کوئی تو ہے 

Khat se kuch gaali suna kar nama bar tanzan kahe
Fitna gar ki is muhabbat ki wajah koi to hai

لیں رخِ جاں پر لٹک کر بوسۂِ رخسار و لب
زلفِ پرخم سے ہمیں بھی مسئلہ کوئی تو ہے 

Len rukh e jan par latak kar bosa e rukhsar o lab
Zulf e pur kham se humen bhi masala koi to hai

 
سَر بہ سَجْدہ سُوئے بت یوں ہی نہیں ہوتے ہیں ہم
اِن بُتوں میں شیخ جی جلوہ نُما کوئی تو ہے 

Sar ba sajdah su e but youn hi nahi hote hain hum
Un buton mein Sheikh ji jalwa numa koi to hai

 
سُن کے اُس شِیرِیں دَہَن سے نام اپنا بارہا
قلبِ مُضطَر آج مَچلے ماجرا کوئی تو ہے 

Sun ke us sheereen dehn se naam apna barha
Qalb e muztir aj machle majra koi to hai

 
بھول کر بھی تم کبھی کرتے نہیں زائلؔ کو یاد
زِیسْت میں یعنی تمہاری دُوسْرا کوئی تو ہے

Bhool kar bhi tum kabhi karte nahi Zaail ko yad
Zeest mein yani tumhari dosra koi to hai

 
زائلؔ جتوئی
Zaail Jatoi


No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo