HAI mashq-e-sukhan jaari, chakki ki mashaqqat bhi Ek tarafa tamasha hai Hasrat ki tabiyat bhi
HAI mashq-e-sukhan jaari, chakki ki mashaqqat bhi
Ek tarafa tamasha hai Hasrat ki tabiyat bhi
JO chaho saza de lo, tum aur bhi khul khelo
Par hum se qasam le lo ke ho jo shikayat bhi
DUSHWAR hai rindon par inkar-e-karam yaksar
Ae saqi-e-jaan parwar kuch lutf-o-inayat bhi
DIL baske hai deewana is husn-e-gulabi ka
Rangeen hai isi ru se shayad gham-e-furqat bhi
KHUD ishq ki gustakhi sab tujh ko sikha degi
Ae husn-e-haya parwar shokhi bhi shararat bhi
BARSAAT ke aate hi tauba na rahi baqi
Badal jo nazar aaye badli meri niyyat bhi
ASHIQ ke dil nazuk, us shokh ki khu nazuk
Nazuk isi nisbat se hai kar-e-muhabbat bhi
RAKHTE hain mere dil par kyun tuhmat-e-betaabi
Yaan nala-e-muztar ki jab mujh mein ho quwwat bhi
AE shauq ki bebaaki woh kya teri khwahish thi
Jis par unhein ghussa hai, inkar bhi hairat bhi
HAR chand hai dil shaida hurriyat-e-kamil ka
Manzoor dua lekin hai qaid-e-muhabbat bhi
HAIN Shad o Safi shair ya Shauq o Wafa Hasrat
Phir Zamin o Mahshar hain, Iqbal bhi Wahshat bhi

Comments
Post a Comment