Hijaab-e-Shab Main Tab-o-Taab-e-Khwaab Rakhta hay Daroon-e-Khwaab Hazaar Aftaab Rakhta Hay
Hijaab-e-Shab Main Tab-o-Taab-e-Khwaab Rakhta hay
Daroon-e-Khwaab Hazaar Aftaab Rakhta Hay
Kabhi Khizaan Main Khilaata Hay Rang Rang K Phool
Kabhi Bahar Ko Bay Rang-o-Aab Karta Hay
Kabhi Zameen Ka Mansab Buland Karta Hay
Kabhi isi Pah Bina-e-Azaab Rakhta Hay
Kabhi Yeh Kehta Hay Sooraj Hay Roshni Pah Gawaah
Kabhi Isi Pah Daleel-e-Hijaab Rakhta Hay
Kabhi Fughaan Ki Tarah Raigaan Asaasa
Kabhi Dua Ki Tarah Mustajaab Rakhta Hay
Kabhi Barastay Huay Badloun Main Payaas Hi Payaas
Kabhi Saraab Main Taseer-e-Aab Rakhta Hay
Bashartoun Ki Zameenain Jab Aag Ugalti Hain
Is Aag Hi Main Gul-e-Inqlaab Rakhta Hay

Comments
Post a Comment