Jo bhi TaKHt pe aa kar BaiTha us ko Yazdan man liya aap bahut hi dida-war the mausam ko pahchan liya



Jo bhi TaKHt pe aa kar BaiTha us ko Yazdan man liya
aap bahut hi dida-war the mausam ko pahchan liya

Jab bhi Thakan ne kaT ke Phenka dasht-gazida qadmon ko
Jalti ret pe khaal bichai dhup ka KHema tan liya

Apni ana ka baghi dariya wasl se kya sarshaar hua
Us ka nishan bhi hath na aaya sara samundar Chhan liya

Qismat ke bazar se bas ek chiz hi to le sakte the
Tum ne taj uThaya main ne 'Ghalib' ka Diwan liya

Sat sifat se aari ho to kaisa taawun KHarij ka
aankh to thi na-bina nahaq suraj ka ehsan liya


Comments

Popular posts from this blog

Dukh Ye Hai Mera Yousaf o Yaqoob Ke Khaliq Woh Log Bhi Bichdey Jo Bichadnay Ke Nahi Thay

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Mere Tan Ke Zakham Na Gin Abhi Meri Aankh Mein Abhi Noor Hai