Kuchh husn-e-wafa ke deewane phir ishq ki raah mein kaam aaye Ae kaash tamasha karne ko khud tu bhi kinaar-e-bam aaye
Kuchh husn-e-wafa ke deewane phir ishq ki raah mein kaam aaye
Ae kaash tamasha karne ko khud tu bhi kinaar-e-bam aaye
Alfaaz na thay awaaz na thi naamah bhi na tha qasid bhi na tha
Aise bhi kai paigham gaye aise bhi kai paigham aaye
Shab-e-mai-khaane ki mehfil mein arbaab-e-jafa ka zikr chala
Chup suntay rahay hum darrtay rahay tera bhi na un mein naam aaye
Hum garcha falak parwaaz bhi hain aur taaron ke hum raaz bhi hain
Sayyad pe aaya reham humein khud shauq se zair-e-daam aaye
Phir laala-o-gul ki nagri se uthlaati hui aayi hai saba
Ae ahl-e-qafas chup chaap suno! Phoolon ke tumhein paigham aaye
Yeh baat alag hai paas raha kuchh tishna labi ki ghairat ka
Hum par bhi raha saqi ka karam hum tak bhi bohat se jaam aaye
Shab kitni bojhal bojhal hai hum tanha tanha baithe hain
Aise mein tumhari yaad aayi jis tarah koi ilham aaye

Comments
Post a Comment