Shayad main zindagi ki sahar le ke aa gaya Qatil ko aaj apne hi ghar le ke aa gaya
Shayad main zindagi ki sahar le ke aa gaya
Qatil ko aaj apne hi ghar le ke aa gaya
Ta-umr dhoondta raha manzil main ishq ki
Anjam ye ki gard-e-safar le ke aa gaya
Nashtar hai mere haath mein kandhon pe mai-kada
Lo mein ilaj-e-dard-e-jigar le aa gaya
"Fakir" sanam-kade main na aata mein laut kar
Ik zakhm bhar gaya tha idhar le ke aa gaya
Sudarshan Fakir

Comments
Post a Comment