Yeh kya ke khaak huay hum jahan, waheen ke nahin Jo hum yahan ke nahin hain to phir kaheen ke nahin



Yeh kya ke khaak huay hum jahan, waheen ke nahin
Jo hum yahan ke nahin hain to phir kaheen ke nahin

Wafa sirasht mein hoti, to saamnay aati
Woh kya falak se nibhayenge jo zameen ke nahin

Hawa ki garm kharami se par rahe hain bhanwar
Yeh paich-o-taab kisi mauj-e-teh nasheen ke nahin

Suna gaya hai ke aksar qiyaam-o-zikr-o-sujood
Hain jis ke naam usi jaan-e-aafreen ke nahin

Tamaam umr phiray dar-badar, ke ghar ho jaaye
Gharon mein rehna bhi taqdeer mein unheen ke nahin

Bikhar rahe hain jo aansoo baghair minnat-e-dost
Woh daamanon ki amaanat hain, aasteen ke nahin


Comments

Popular posts from this blog

Dukh Ye Hai Mera Yousaf o Yaqoob Ke Khaliq Woh Log Bhi Bichdey Jo Bichadnay Ke Nahi Thay

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Mere Tan Ke Zakham Na Gin Abhi Meri Aankh Mein Abhi Noor Hai