Kise Khabar Thi K Ye Dil Ka Haal Hona Tha

 

 

Poetess Noshi Gilani 

 

Kise Khabar Thi K Ye Dil Ka Haal Hona Tha,

Tumhain Ganwa K Humain Bhi Malaal Hona Tha,

Humare Waste Rasta Koi Bacha Kab Tha,

Wohein Thay Zakham Wohein Ind Maal Hona Tha,

Main Tera Naam Likhon Khushboin Si Jal Uthein,

Ye Mojza Bhi Mere Khush Jamal Hona Tha,

Wohi Badan K Jise Tazgi Muqadar Thi,

Kise Khabar Thi K Youn Paimal Hona Tha,

Kabhi Gulab Si Mehkein Kabhi Charagh Jalein,

Sukhan K Bab Mein Ye Bhi Kamal Hona Tha,

Kamal-E-Sada Dili Hai K Badgumani Hai,

Tumhare Lab Pe Bhi Koi Sawal Hona Tha,

Hawa-E-Shehr Ne Rakha Bahut Udas Magar,

Mera Yaqeen-E-Mohabbat Bahaal Hona Tha................!

 

Page 27 To 28 

 

Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Ik Main Pheeki Chaah Naein Peenda Doja Thandi Chaah Naein Peenda

Hum Ne Tujhe Jana Hai Faqat Teri Aata Se Woh Hamdia Kalam Jis Ki Aawaz Aur Kalam Ko Allama Iqbal Se Mansoob Kia Jata Hai