Posts

Showing posts from October, 2014

Nisar-e-Murtaza ho (Hindu Poetess Devi Roop Kumari Indian)

Image

Hai Aj b Zamane me Charcha HUSSAIN ka

Hindu poetess Devi Roop Kumari  (India)   Hai Aj b Zamane me Charcha HUSSAIN ka Chalta hai Mulk_Mulk me sika HUSSAIN ka Bharat me Gr wo Aata to Bhagwan kehte hm Hr Hindu Naam pooja me japta HUSSAIN ka Mazhab ki koi Baat nhi Dil ki Baat hai Hr Haq Prast Dil se hai Sheeda HUSSAIN ka Muslim to parhte Aaye hain kalma RASOOL ka Hm Hinduon ne parh liya kalma HUSSAIN ka Sahil se sar Ptakhti hain Piyason ki yaad me Le le k Naam Ganga-O-Jamna HUSSAIN ka Rawan ki Trah Mitt Gya Dunya se tu Yazeed Lekin Dilon pe Aj hai Qabza HUSSAIN ka Is me Nhi kalam k hm But-parast hain Ankhon se apni Chomain ge Roza HUSSAIN ka.    

Nomi.Org

Image
 

Main Beti Hon To Ek Rehmat Hon

Image
   

Khawabon Ki Ek Basti Thi Ek Larki Us Mein Basti Thi

Image
Poet Ibn-E-Insha Khawabon Ki Ek Basti Thi Ek Larki Us Mein Basti Thi Apne Ghar K Aangan Mein Kuch Sapne Boya Karti Thi Apne Kamre Ki Khirki Mein, Boondon Se Khela Karti Thi, Sab K Samne Hansti Thi, Chup Chup K Roya Kati Thi, Khud Se Kurhti Rehti Thi, Sakhion Se Kuch Na Kehti Thi, Chand Ko Ghanton Ghoorte Rehna, Phir Khud Se Baten Karti Thi, Dekhne wali Sab Aankhon Ko, Kaanch Ki Guria Lagti Thi, Toot Chuki To Sab Ne Jana, Pyar Wo Kisi Se Karti Thi................! Kuliat-E-Insha Page 72

Ye Be Sada Sang-O-Dar Akele

Ujaarr Sunsaan Ghar Akele

Chale Jo Pee K To Mastion Mein

    Poet Muneer Niazi Type bY    UJRRA_DIL Ye Be Sada Sang-O-Dar Akele Ujaarr Sunsaan Ghar Akele Chale Jo Pee K To Mastion Mein Gaye Kahan Be Khabar Akele, Muheeb Ban Tha Chahaar Janib, Kata Tha Sara Safar Akele, Hawa Si Rangon Mein Chal Rahi Hai, Kharre Hain Wo Baam Par Akele, Hai Sham Ki Zarad Dhoop Sar Par, Hon Jese Din Mein Ngar Akele, MUNEER Ghar Se Nikal K Hum Bhi, Phire Bahot Dar Badar Akele..............! . Kulyat-E-Muneer    

Abar Mein Baraq K Gulzar Dikhate Us Ko

    Poet Muneer Niazi Type bY  UJRRA_DIL    Abar Mein Baraq K Gulzar Dikhate Us Ko, Kash Us Raat Ja K Jagate Us Ko, Sheh Nasheenon Pe Hawa Phirti Hai Khoi Khoi, Ab Kahan Hain Wo Makeen Ye To Batate Us Ko, Wo Jo Pas Aa K Younhi Chup Sa Kharra Rehta Tha, Us Ki To Khoo Thi Yahi, Tum Hi Bulate Us Ko, Gham Gusari Ki Talab Thi Ye Mohabbat To Na Thi, Dard Jab Dil Mein Utha To Chupate Us Ko, Faida Kaya Hai Agar Ab Wo Mile Bhi To MUNEER, Umar Beet Gai Raah Pe Late Us Ko.................! Kuliat-E-Muneer    

Wo Ek Khayal Jo Us Shokh Ki Nigah Mein Tha

    Poet Muneer Niazi Type bY    UJRRA_DIL Wo Ek Khayal Jo Us Shokh Ki Nigah Mein Tha, Usi Ka Akas Mere Dil Ki Sard Aah Mein Tha, Usi Tarah Wo Purani Bahaar Baqi Thi, Ajeeb Husan Us Huzzan-E-Bargaah Mein Tha, Shafaq Ka Rang Jhalkta Tha Laal Sheeshon Mein, Tamam UJRRA Makan Sham Ki Panah Mein Tha, Main Us Ko Daikh K Chup Tha Usi Ki Shadi Mein, Maza To Sara Usi Risam K Nibah Mein Tha, Sawad-E-Shehar Pe Hi Ruk Gaya Tha Main To MUNEER, Aur Aik Dashat-E-Bala Mere Ghar Ki Raah Mein Tha..................! Kuliat-E-Muneer    

Jamal-E-Yar Ka Daftar Raqam Nahi Hota

Kisi Jatan Se Bhi Ye Kaam Kam Nahi Hota

    Poet Muneer Niazi Type bY    UJRRA_DIL    Jamal-E-Yar Ka Daftar Raqam Nahi Hota Kisi Jatan Se Bhi Ye Kaam Kam Nahi Hota Tamam Ujrre Kharabe Haseen Nahi Hote, Har Ik Purana Makaan Qasar-E-Jamm Nahi Hota, Tamam Umar Raah-E-Raftgaan Ko Takti Rahi, Kisi Nigaah Mein Itna To Dam Nahi Hota, Yahi Saza Hai Meri Ab Jo Main Akela Hon, Keh Mera Sar Tere Aage Bhi Kham Nahi Hota, Wo Be Hasi Hai Muslsal Shaksat-E-Dil Se MUNEER, Koi Bicharr K Chala Jaye Gham Nahi Hota...............! Kuliat-E-Muneer    

Kabhi So Gai Hain Nabzein

Kabhi Dard Jaag Utha Hai

    Poet Syed Ameen Gilani Kabhi So Gai Hain Nabzein Kabhi Dard Jaag Utha Hai Koi Mere Dil Se Pooche, Shab-E-Gham Buri Bala Hai, Main Mareez-E-La Dawa Hon, Meri Jan Ghalat Kaha Hai, Tera Hans K Dekh Lena, Mere Dard Ki Dawa Hai, Kabhi Mil Gai Jo Khalwat Mujhe Di Aagr Ijazat, Wohi Zulf Choom Lon Ga, Mujhe Jis Ne Das Lia Hai, Mere Dil Mein Ghar Hai Tera Tere Dar Pe Sar Hai Mera, Jo Khafa Ha Mujh Se Dunia Yehi Ek Meri Khata Hai, Kisi Butt (Morti) Se Pyar Karna Hai Agarche Kufar Zahid, Isi Kufar Se To Mujh Ko Ba Khuda Khuda Mila Hai, Tera Name Sun K Aye Jan Teri Deed Ki Lagan Mein, Koi Toor Par Gia Hai Koi Daar Par Charha Hai, Nahi Faraq Aab-O-Gul Mein Magar Apni Apni Qismat, Koi Phool Ban K Mehka Koi Khaar Ban Gia Hai, Tere Gham Ko Dil Mein Pala Wo Wafa Ki Ibtada Thi, Tere Gham Mein Jan De Di Ye Wfa Ki Intiha Hai, Na Wo Rut Jawanion Ki Na Wo Rang-E-Bazm-E-Yaran, Wo Bahar Lut Chuki H...

December Jab Bhi Aata Hai

Wo Pagli Phir Se Beete Mosam Ko Yad Karti Hai

    Poet Khaleelullah Farooqi   December Jab Bhi Aata Hai Wo Pagli Phir Se Beete Mosam Ko Yad Karti Hai Purane Cards Parhti Hai K Jis Mein Us Ne Likha Tha, Main Louton Ga DECEMBER Mein, Naye Kapre Banati Hai, Wo Sara Ghar Sajati Hai, December K Har Aik Din Ko, Wo Gin Gin Kar Batati Hai, Joon Hi 15 Guzarti Hai, Wo Kuch Kuch Toot Jati Hai, Magar Phir Bhi Purane Albums Ko Khol Kar, Mazi Ko Bulati Hai, Nahi Maloom Ye Us Ko K, Beete Waqt Ki Khushian Bahut Takleef Deti Hein, Mehz Dil Ko Jalati Hain, Younhi Din Beet Jate Hein, DECEMBER Lout Jata Hai, Magar Wo Khush Fehm Larki, Dobara Se Calender Mein, DECEMBER K Maheene K Safhe Ko, Mor Kar Phir Se December K Sehr Mein Doob Jati Hai, K Aakhir Us Ne Likha Tha, Main Louton Ga DECEMBER Mein.........! Page 240

Deti Nahi Amaan Jo Zameen
Aasmaan To Hai

    Poet Muneer Niazi Type bY  UJRRA_DIL Deti Nahi Amaan Jo Zameen Aasmaan To Hai, Kehne Ko Apne Dil Se Koi Dastaan To Hai, Youn To Hai Rang Zard Mgar Hont Laal Hain, Sehra Ki Was'Eton Mein Kahain Gulstaan To Hai, Aik Cheel Aik Mamti Pe Bethi Hai Dhoop Mein, Galiyan Ujrr Gai Hain Mgar Pasbaan To Hai, Aawaz Day K Daikh Lo Shayd Wo Mil Hi Jaye, Warna Ye Umar Bhar Ka Safar Raegaan To Hai, Mujh Se Bahot Qareeb Hai To Phir Bhi Ay MUNEER, Parda Sa Mere Tere Darmiyaan To Hai...........! Kuliat-E-Muneer    

Dil Jal Raha Tha Gham Se Magar Naghma Gar Raha

    Poet Muneer Niazi Type bY    UJRRA_DIL Dil Jal Raha Tha Gham Se Magar Naghma Gar Raha, Jab Tak Raha Main Sath Mere Ye Hunar Raha, Subha Safar Ki Raat Thi Tare The Aur Hawa, Saya Sa Aik Dair Talak Baam Par Raha, Meri Sada Hawa Mein Bahot Door Tak Gai, Par Main Bula Raha Tha Jise Wo Be Khabr Raha, Guzari Hai Kaya Maze Se Khayalon Mein Zindagi ? Doori Ka Ye Talsim Barra Kargar Raha, Khof Aasman K Sath Tha Sar Par Jhuka Huwa, Koi Hai Bhi Ya Nahi ? Yahi Dil Mein Dar Raha, Us Aakhri Nazar Mein Ajab Dard Tha MUNEER, Jane Ka Us K Ranj Mujhe Umar Bhar Raha..........! Kuliat-E-Muneer    

Hansi Chupa Bhi Gia Aur Nazar Mila Bhi Gia

    Poet Muneer Niazi Type bY    UJRRA_DIL Hansi Chupa Bhi Gia Aur Nazar Mila Bhi Gia, Ye Ik Jhalak Ka Tamasha Jigar Jala Bhi Gaya, Utha To Ja Bhi Chuka Tha Ajeeb Mehmaan Tha, Sadaein De K Mujhe Neend Se Jaga Bhi Gia, Ghazab Huwa Jo Andhaire Mein Jal Uthi Bijli, Badan Kisi Ka Talsimat Kuch Dikha Bhi Gia, Na Aaya Koi Labb-E-Baam Sham Dhalne Lagi, Wafoor-E-Shoq Se Aankhon Mein Khoon Aa Bhi Gia, Hawa Thi Gehri Ghata Thi Hina Ki Khushboo Thi, Ye Aik Raat Ka Qisa Lahoo Rula Bhi Gia, Chalo MUNEER Chalein Ab Yahan Rahein Bhi To Kia ? Wo Sang Dil To Yahan Se Kahein Chala Bhi Gia............! Kuliat-E-Muneer    

Aaina Ban Kar Kabhi Un Ko Hairan Daikhiye

    Poet Muneer Niazi Type bY  UJRRA_DIL Aaina Ban Kar Kabhi Un Ko Hairan Daikhiye, Apne Gham Ko Un Ki Soorat Se Numayan Daikhiye, Is Diyar-E-Chasham-O-Lab Mein Dil Ki Ye Tanhaiyan, In Bhare Shehron Mein Bhi Sham-E-Ghareeban Daikhiye, Umar Guzari Dil K Bujhne Ka Tamasha Kar Chuke, Kis Nazar Se Baam-O-Dar Ka Ye Charaghan Daikhiye, Daikhiye Ab K Baras Kaya Gul Khilati Hai Bahaar ? Kitni Shudat Se Mehkta Hai Gulstan Daikhiye, Ay MUNEER Is Anjuman Mehn Chasham-E-Laila Ka Khayal, Sardiyon Ki Barishon Mein Baraq Larzan Daikhiye........!    Kuliat-E-Muneer    

Kafi Arsa Beet Gia Hai Jane Ab Wo Kaisa Ho Ga

Waqt Ki Sari Karvi Batain

Kafi Arsa Beet Gia Hai Jane Ab Wo Kaisa Ho Ga, Waqt Ki Sari Karvi Batain, Chup Chap Gum Sum Sehta Ho Ga, Ab Bhi Bheegi Barish Mein Wo, Bin Chatri K Chalta Ho Ga, Mujh Se Bichre Arsa Beeta, Ab Wo Kis Se Larta Ho Ga, Acha Hota Jo Sath Hi Rehte, Aksar Us Ne Socha Ho Ga, Apne Dil Ki Sari Batain, Khud Se Khud Hi Karta Ho Ga, Mujh Se Bichre Arsa Beeta, Jane Ab Wo Kaisa Ho Ga.............!    

Mudat hoi hy Yaar ko mehman kiye hoe

Image

Badshah Tere Aesaab Pe Tari Main Thi

Image
  ========== Raj Kumari ==========   Poetess Rehana Qamar  Badshah Tere Aesaab Pe Tari Main Thi, Wo Bhi Din Thay K Teri Raj Kumari Main Thi, Ye Bhi Sach Hai K Mujhe Maar Dia Hai Too Ne, Ye Bhi Sach Hai K Tujhe Jan Se Pyari Main Thi, Sari Dunia Ko Pata Hai K Nahi Tum Mere, Sari Dunia Ko Pata Hai K Tumhari Main Thi, Ab To Ek Jisam Hon Jis Mein Koi Dharkan Hai Na Dil, Kabhi Sanson Ki Tarah Jari-O-Sari Main Thi, Too Mere Bad Bhi Zinda Hai Bahut Zinda Hai, Kaise Maano K Teri Waqt Guzari Main Thi...................!  

Ishq Haara To Dil Thaam K Kion Bethe Ho Ayaz Tum To Har Bat Pe Kehte Ho Koi Bat Nahi

Image
  Ishq hara hai to dil thaam k kion bethe ho Ayaz.   Poet Ayaz Khan Type By   *.__Ayaz_Khan__.*   Dil Tarapta Hai Ke Ab Tujhe Se Koi Mulaqaat Nahi, Dard Ke Tufe Jo Tu Ne Diye Wo Kante Hain Koi Soghaat Nahi, Mein To Diwana Hon Tera Khud Ko Jala Don Ga, Mein Mar Bhi Gaya Tere Gham Mein To Ye Koi Maat Nahi, Ye Jo Sawan Ki Tarah Ashkon Ka Ek Daria Nazar Aata Hai, Ye Mere Aansoo Hain Zalim Koi Barsaat Nahi, Aaj Mein Tanha Hon Tujh Ko Ye Raaz Kise Bataon, Teri Yaadain Teri Baatain Hain Aur Koi Sath Nahi, Ishq Hara Hai To Dil Thaam Ke Kion Bethe Ho AYAZ, Tum To Har Baat Par Kehte The Koi Baat Nahi, Koi Baat Nahi..........!  

Aalam-e-Ab-o-Khak-o-baad sirr-e-ayan hai tu ki main

Image
   

aflak se aata hai nalon ka jawab aakhir

Image

agar kaj-rau hain anjum aasman tera hai ya mera

Image
   

amin-e-raaz hai mardan-e-hur ki darweshi

Image

apni jaulan-gah zer-e-asman samjha tha main

Image

aql go aastan se dur nahin

Image

asar kare na kare sun to le meri fariyaad

Image

DhunD raha hai farang aish-e-jahan ka dawam

Image

digar-gun hai jahan taron ki gardish tez hai saqi

Image

Dil soz se Khaali hai nigah pak nahin hai

Image

Dil-e-bedar faruqi dil-e-bedar karrari

Image

ejaz hai kisi ka ya gardish-e-zamana

Image

ek danish-e-nurani ek danish-e-burhani

Image

faqr ke hain mojazat taj o sarir o sipah

Image

fitrat ko KHirad ke ru-ba-ru kar

Image

fitrat ne na baKHsha mujhe andesha-e-chaalak

Image
 

garm-e-fughan hai jaras uTh ki gaya qafila

Image

gesu-e-tabdar ko aur bhi tabdar kar

Image

gulzar-e-hast-e-bud na begana-war dekh

Image

hadsa wo jo abhi parda-e-aflak men hai

Image

hai yaad mujhe nukta-e-salman-e-KHush-ahang

Image

Main To Khuda Ke Sath Hon, Tum Kis Ke Sath Ho...?

    Poet John Elia Type By    *._Ayaz_Khan_* Main To Khuda Ke Sath Hon, Tum Kis Ke Sath Ho...? Har Lamha LAA Ke Sath Hon, Tum Kis Ke Sath Ho...? Mujh Ko Baqa-E-Eesh-E- Tohham Nahi Qubool, Main To FANA Ke Sath Hon, Tum Kis Ke Sath Hoo...? Main Hoon Bhi Ya Nahi Hon, Ajab Hai Mera Azaab, Har Lamha YAA Ke Sath Hon, Tum Kis Ke Sath Ho...? Main Hoon Gubaar-E-Jadaah Bood-O-Nabood Ka, Yaani HAWA Ke Sath Hon, Tum Kis Ke Sath Ho...? Tum Bhi To Aj Mujh Se Karo Kuch Sukhann Ke Main, Naffi-E-ANAA Ke Sath Hon, Tum Kis Ke Sath Ho...? Musam Mera Koi Bhi Nahi Iss Zameen Main, Abb-O-HAWA Ke Sath Hon, Tum Kis Ke Sath Ho.........! Book: Lekin Page: 59,60 Mazeed Poetry K Liye, Follow khan61 send 8001    

Kali Se Keh Rahi Thi Aik Din Shabnam Gulisaan Mein

Rahi Main Aik Muddat Ghuncha Haye Bagh-E-Rizwaan Mein

  Poet Dr Allama Iqbal Pholon Ki Shehzadi Type By  *._Ayaz_Khan_.*   Kali Se Keh Rahi Thi Aik Din Shabnam Gulisaan Mein Rahi Main Aik Muddat Ghuncha Haye Bagh-E-Rizwaan Mein Gulistaan Ki Kaifiat Sarshar Hai Aesi, Nigah Firdoos Dar Daman Hai Meri Chashm-E-Heraan Mein, Suna Hai Koi Shehzadi Hai Hakim Iss Gulistaan Ki, Ke Jis Ke Naqsh-E-Pa Se Phool Hon Paida Byabaan Mein, Kabhi Sath Apne Uss Ke Astaan Tak Mujh Ko Too Le Chal, Chupa Kar Apne Daman Mein Barang-E-Mouj-E-Boo Le Chal, Kali Boli Sareer Ara Humari Hai Woh Shehzadi, Darkhashaan Jis Ki Thokar Se Hon Pathar Bhi Nageen Ban Kar, Magar Fitrat Teri Uftanda Aur Begam Ki Shan Unchi, Nahi Mumkin Ke Too Pohenche Humari Hum Nasheen Ban Kar, Puhonch Sakti Hai Too Lekin Humari Shahzadi Tak, Kisi Dukh Dard Ke Mare Ka Ashak-E-Atisheen Ban Kar, Nazar Uss Ki Payam-E-Eid Hai Ahl-E-Muhram Ko, Bana Deti Hai Gohar Ghamzadon Ke Ashak-E-Peham Ko..........

Ab Wo Karam Karein K Sitam Main Nashe Mein Hon

Mujh Ko Na Koi Hosh Na Gham Main Nashe Mein Hon Lyric

  Poet Sahir Ludhianvi    Ab Wo Karam Karein K Sitam Main Nashe Mein Hon Mujh Ko Na Koi Hosh Na Gham Main Nashe Mein Hon, Seene Se Bojh Un K Ghamo Ka Utar K, Aaya Hon Aaj Apni Jawani Ko Haar K, Kehte Hain Dagmagate Qadam, Main Nashe Mein Hon, Wo Bewafa Hai Ab Bhi Ye Dil Manta Nahi, Kambakht Na Samjh Hain Unhain Janta Nahi, Main Aaj Torr Don Ga Bharam, Main Nashe Mein Hon, Fursat Nahi Hai Rone Rulane K Waste, Aaye Na Un K Yad Satane K Waste, Is Waqt Dil Mein Dard Hai Kam, Main Nashe Mein Hon.............!   Page 445   

Arz-E-Gham Kabhi Us K Roo Ba Roo Bhi Ho Jaye

Shairy To Hoti Hai Guftagoo Bhi Ho Jaye

  Poet Ahmad Faraz   Arz-E-Gham Kabhi Us K Roo Ba Roo Bhi Ho Jaye Shairy To Hoti Hai Guftagoo Bhi Ho Jaye Zakham-E-Hijar Bharne Se Yad To Nahi Jati, Kuch Nishaan To Rehte Hain Dil Rafoo Bhi Ho Jaye, Rind Hain Bhare Bethe Aur Maye Kada Khali, Kia Bane Jo Aise Mein Aik Hoo Bhi Ho Jaye, Main Idhar Tan-E-Tanha Aur Udhar Zamana Hai, Wa-E-Gur Zamane K Sath Too Bhi Ho Jaye, Pehli Na Muradi Ka Dukh Kahein Basarta Hai, Bad Mein Agar Koi Surkh Roo Bhi Ho Jaye, Deen-O-Dil To Kho Bethe Ab FARAZ Kia Gham Hai, Koo-E-Yar Mein Gharat Aabro Bhi Ho Jaye..............! Page 15,16      

Maza Hai Pur Afsos Rehna

Humari Tamana Hai Mayoos Rehna

  Poet Dagh Dehlvi    Maza Hai Pur Afsos Rehna Humari Tamana Hai Mayoos Rehna Ye Qaid-E-Mohabbat Ek Azadgi Hai, Magar Koi Jane Bhi Mahbos Rehna, Ye Seekha Hai To Ashk Ghamaz Kis Se, Mere Aankh Mein Ban K Jasoos Rehna, Kia Hai Raqeebon Ne Saman-E-Ishrat, Khabar Daar Aye Chargh-E-Manhoos Rehna, Khosha Wo Zamana K Tha Dil Ka Shewa, Na Manoos Rehna Na Mayoos Rehna, Ulat De Zara Roo-E-Roshan Se Parda, Ye Kia Shamma San Zeir-E-Fanoos Rehna, Wo Mehshar Kharaam Aaye Ga Soo-E-Gulshan, Alag Is Se Aye Kabak-O-Taaos Rehna, Mohabbat Mein Youn DAGH Izat Rahe Gi, K Tum Dushman-E-Nang-O-Namoos Rehna..............! Page 72,73   

Wabasta Ho Gayin Thein Kuch Umeeden Aap Se

Image

Aye Chand Husn Tera Fitrat Ki Aabroo Hai Tof-E-Hareem-E-Khaki Teri Qadeem Khoo Hai

Poet Dr Allama Iqbal ====== Chand ====== Type By   *._Ayaz_Khan_.*   Aye Chand Husn Tera Fitrat Ki Aabroo Hai, Tof-E-Hareem-E-Khaki Teri Qadeem Khoo Hai, Ye Dagh Sa Jo Tere Seene Mein Hai Namayan, Ashiq Hai Too Kisi Ka Ye Dagh-E-Arzoo Hai, Mein Mutarib Zameen Par Betab Too Falak Par, Tujh Ko Bhi Justujoo Hai Mujh Ko Bhi Justujoo Hai, Insan Hai Shama Jis Ki Mehfil Wohi Hai Teri, Main Jis Taraf Rawaan Hon Manzil Wohi Hai Teri, Too Dhoondta Hai Jis Ko Taron Ki Khamashi Mein, Poshida Hai Woh Shaid Ghoghaye Zindagi Mein, Istada Saroo Mein Hai, Sabze Mein So Raha Hai, Bulbul Mein Naghma-Zan Hai Khamosh Hai Kali Mein, Aa Mein Tujhe Dikhaon Rukhsar-E-Roshan Uss Ka, Nehron Ke Aaine Mein Shabnam Ki Aarasi Mein. Sehra-O-Dasht-O-Dar Mein Kuhsar Mein Wohi Hai. Insan Ke Dil Mein Tere Rukhsar Mein Wohi Hai....!   Book Bang-E-Dara  

چاندنی جھیل نہ شبنم نہ کنول میں ہوگا

چاندنی، جھیل نہ شبنم نہ کنول میں ہوگا اب تیرا عکس فقط اپنی غزل میں ہوگا اور اک سانس کو جینے کی تمنا کر لیں ایک لمحہ تو ابھی دشتِ اَجل میں ہوگا راکھ ماضی کی کُریدو، نہ پَلٹ کر دیکھو آج کا دن بھی ہُوا گُم، تو وہ کل میں ہوگا کیوں کسی موڑ پہ رُک رُک کے صدا دیں اُس کو وہ تو مصروف مُصافت کے عمل میں ہوگا جس سے منسوب ہے تقدیر ِ دو عالم کا مزاج وہ ستارہ بھی تیری ظلف کے بَل میں ہوگا ہجر والو! وہ عدالت بھی قیامت ہوگی فیصلہ ایک صدی کا، جہاں پًل میں ہوگا اُس کو نیندوں کے نگر میں نہ بساؤ محسن ورنہ شامل وہی نیندوں کے خلل میں ہوگا

Shamma Aur Shaair Long Poem By Allama Iqbal

   Poet Dr Allama Iqbal Shama Aur Shaair Type By Ayaz Khan  & Ujrra dil Shaair Dosh Mee Gutam Ba Shama-E-Manzil-E-Weran-E-Khowish, Gaisoye Too Azpar-E-Parwana Dar Dashana Ae. Dar Jahan Misl-E-Charagh-E-Lala-E-Sehrastam, Ne Naseeb-E-Mehfil-E-Ne Qismat- E-Kashana Ae. Madd Te Manind-E-To Man Hum Nafas Mee Soukhtam, Dar Tawaf-E-Shaula Am Baale Na Zad Parwana Ae. Mee Tapad Sad Jalwa-E-Dar Jaan-E-Amal Far Sood-E-Mann, Bar Namee Khaizd Azeen Mehfil Dil-E-Diwana Ae. Az Kuja Aen Aatish-E-Alam Faroz Andokhti, Kirmak-E-Be Maya Ra Souz-E-Kaleem Amoskhti, Mujh Ko Mouj-E-Nafas Deti Hai Paigham-E-Ajal, Lab Issi Mouj-E-Nafas Se Hai Nawa Paira Tera. Mein To Jalti Hon K Hai Muzmir Meri Fitrat Mein Souz, Too Firouzan Hai K Parwanon Ko Ho Soda Tera. Girya Saman Main K Mere Dil Mein Hai Toofan-E-Ashak, Shabnam Afshan Too K Bazm-E-Gul Mein Ho Charcha Tera. Gul Ba Daman Hai Meri Shab Ke ...

Main Aisi Mohabbat Karta Hon
 
Tum Kaisi Mohabbat Karti Ho Lyric (HIJAR)

  Poet Khaleelullah Farooqi    Main Aisi Mohabbat Karta Hon, Tum Kaisi Mohabbat Karti Ho, Tum Jahan Pe Beth K Jati Ho, Main Wahein Pe Betha Rehta Hon, Us Cheez Ko Choota Rehta Hon, Main Aisi Mohabbt Karta Hon, Tum Jis Se Hans K Milti Ho, Main Us Ko Dost Banata Hon, Tum Jis Raste Par Chalti Ho, Main Us Se Aata Jata Hon, Main Aisi Mohabbat Karta Hon, Tum Kaisi Mohabbat Karti Ho, Tum Jin Ko Dekhti Rehti Ho, Wo Khawab Sarhane Rakhta Hon, Tum Se Milne Julne K Kitne Hi Bahanay Rakhta Hon, Main Aisi Mohabbat Karta Hon, Tum Kaisi Mohabbat Karti Ho, Tum Jahan Bhi Beth K Jati Ho, Jis Cheez Ko Hath Lagati Ho, Main Wahein Peh Betha Rehta Hon, Us Jaga Ko Choota Rehta Hon, Main Aisi Mohabbat Karta Hon, Tum Kaisi Mohabbat Karti Ho, Kuch Khuwab Saja Kar Aankhon Mein, Palkon Se Moti Chunta Hon, Koi Lams Agar Choo Ja Aa To, Main Pehron Us Ko Sochta Hon, Sawal-E-Mohabbat,...