Aye Chand Husn Tera Fitrat Ki Aabroo Hai Tof-E-Hareem-E-Khaki Teri Qadeem Khoo Hai

Poet Dr Allama Iqbal

======
Chand
======

Type By


  *._Ayaz_Khan_.*

 

Aye Chand Husn Tera Fitrat Ki Aabroo Hai,

Tof-E-Hareem-E-Khaki Teri Qadeem Khoo Hai,

Ye Dagh Sa Jo Tere Seene Mein Hai Namayan,

Ashiq Hai Too Kisi Ka Ye Dagh-E-Arzoo Hai,

Mein Mutarib Zameen Par Betab Too Falak Par,

Tujh Ko Bhi Justujoo Hai Mujh Ko Bhi Justujoo Hai,

Insan Hai Shama Jis Ki Mehfil Wohi Hai Teri,

Main Jis Taraf Rawaan Hon Manzil Wohi Hai Teri,

Too Dhoondta Hai Jis Ko Taron Ki Khamashi Mein,

Poshida Hai Woh Shaid Ghoghaye Zindagi Mein,

Istada Saroo Mein Hai, Sabze Mein So Raha Hai,

Bulbul Mein Naghma-Zan Hai Khamosh Hai Kali Mein,

Aa Mein Tujhe Dikhaon Rukhsar-E-Roshan Uss Ka,

Nehron Ke Aaine Mein Shabnam Ki Aarasi Mein.

Sehra-O-Dasht-O-Dar Mein Kuhsar Mein Wohi Hai.

Insan Ke Dil Mein Tere Rukhsar Mein Wohi Hai....!

 

Book Bang-E-Dara

 

No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo