Kabhi So Gai Hain Nabzein

Kabhi Dard Jaag Utha Hai

 

 

Poet Syed Ameen Gilani

Kabhi So Gai Hain Nabzein

Kabhi Dard Jaag Utha Hai

Koi Mere Dil Se Pooche,

Shab-E-Gham Buri Bala Hai,

Main Mareez-E-La Dawa Hon,

Meri Jan Ghalat Kaha Hai,

Tera Hans K Dekh Lena,

Mere Dard Ki Dawa Hai,

Kabhi Mil Gai Jo Khalwat Mujhe Di Aagr Ijazat,

Wohi Zulf Choom Lon Ga,

Mujhe Jis Ne Das Lia Hai,

Mere Dil Mein Ghar Hai Tera Tere Dar Pe Sar Hai Mera,

Jo Khafa Ha Mujh Se Dunia Yehi Ek Meri Khata Hai,

Kisi Butt (Morti) Se Pyar Karna Hai Agarche Kufar Zahid,

Isi Kufar Se To Mujh Ko Ba Khuda Khuda Mila Hai,

Tera Name Sun K Aye Jan Teri Deed Ki Lagan Mein,

Koi Toor Par Gia Hai Koi Daar Par Charha Hai,

Nahi Faraq Aab-O-Gul Mein Magar Apni Apni Qismat,

Koi Phool Ban K Mehka

Koi Khaar Ban Gia Hai,

Tere Gham Ko Dil Mein Pala Wo Wafa Ki Ibtada Thi,

Tere Gham Mein Jan De Di Ye Wfa Ki Intiha Hai,

Na Wo Rut Jawanion Ki Na Wo Rang-E-Bazm-E-Yaran,

Wo Bahar Lut Chuki Hai Wo Chaman Ujar Chuka Hai,

Wo Hai Jalwa Gah-E-Jana

Mujhe Dosto Sanbhalo,

Mere Paon Kanpte Hain Mera Dil Dharak Raha Hai,

Koi Jam-E-Jam Kahan Se Tujhe La K Aaye AMEEN De,

Too Agar Kare Tawajo Tera Dil Jahan Numa Hai..............!

Book Umeed-O-Yaas

Page 49,50



No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo