Shamma Aur Shaair Long Poem By Allama Iqbal

 

 Poet Dr Allama Iqbal

Shama Aur Shaair

Type By

Ayaz Khan 

&

Ujrra dil

Shaair

Dosh Mee Gutam Ba Shama-E-Manzil-E-Weran-E-Khowish,

Gaisoye Too Azpar-E-Parwana Dar Dashana Ae.

Dar Jahan Misl-E-Charagh-E-Lala-E-Sehrastam,

Ne Naseeb-E-Mehfil-E-Ne Qismat- E-Kashana Ae.

Madd Te Manind-E-To Man Hum Nafas Mee Soukhtam,

Dar Tawaf-E-Shaula Am Baale Na Zad Parwana Ae.

Mee Tapad Sad Jalwa-E-Dar Jaan-E-Amal Far Sood-E-Mann,

Bar Namee Khaizd Azeen Mehfil Dil-E-Diwana Ae.

Az Kuja Aen Aatish-E-Alam Faroz Andokhti,

Kirmak-E-Be Maya Ra Souz-E-Kaleem Amoskhti,

Mujh Ko Mouj-E-Nafas Deti Hai Paigham-E-Ajal,

Lab Issi Mouj-E-Nafas Se Hai Nawa Paira Tera.

Mein To Jalti Hon K Hai Muzmir Meri Fitrat Mein Souz,

Too Firouzan Hai K Parwanon Ko Ho Soda Tera.

Girya Saman Main K Mere Dil Mein Hai Toofan-E-Ashak,

Shabnam Afshan Too K Bazm-E-Gul Mein Ho Charcha Tera.

Gul Ba Daman Hai Meri Shab Ke Lahoo Se Meri Subah,

Hai Tere Amroz Se Na-Ashna Farda Tera,

Youn To Roshan Hai Magar Souz-E-Darun Rakhta Nahi,

Shaola Hai Misl-E-Charagh-E-Lala-E-Sehra Tera.

Soch To Dil Mein, Laqab Saqi Ka Hai Zaiba Tujhe,

Anjuman Pyasi Hai Aur Pemana Be-Sehba Tera.

Aur Hai Tera Shuaar, Aaeene-E- Millat Aur Hai,

Zisht Roi Se Teri Aaina Hai Ruswa Tera.

Kaaba Pehlu Mein Hai Aur Soodai-E-Bautkhana Hai,

Kis Qadar Shourida Sar Hai Shauq-E-Be-Parwa

Tera,

Shama

Qais Paida Hon Teri Mehfil Mein, Ye Mumkin Nahi,

Tang Hai Sehra Tera, Mehmil Hai Be-Laila Tera.

Ay Dur-E-Tabinda, Ay Parwardah-E-Aghosh-E-Mouj.

Lazzat-E-Toofan Se Hai Na Ashna Daria Tera.

Ab Nawa Paira Hai Kia, Gulshan Howa Barham Tera.

Be Mehel Tera Taranum, Naghma Be Mousam Tera.

Tha Jinhain Zauq-E-Tamasha, Wo To Rukhsat Ho Gaye.

Le K Ab Too Wada-E-Didaar-E-Aam Aaya To Kia,

Anjuman Se Wo Purane Shaola Aasham Uth Gaye,

Saqia Mehfil Mein Too Aatish Bajaam Aaya To Kia.

Aah, Jab Gulshan Ki Jamiat Preshan Ho Chukki,

Phool Ko Baad-E-Bahari Ka Payam Aaya To Kia.

Akhir-E-Shab Deeb K Qabil Thi Bismil Ki Tarap,

Subahdam Koi Agar Balaye Baam Aaya To Kia.

Bujh Gia Wo Shaola Jo Maqsood-E-Har Parwana Tha,

Ab Koi Soudai-E-Souz-E-Tamam Aaya To Kia,

Phool Be Parwa Hain, Too Garam-E-Nawa Ho Ya Na Ho,

Karwan Be Hiss Hai, Awaz-E-Dra Ho Ya Na Ho.

Shama-E-Mehfil Ho K Too Jab Souz Se Khali Raha,

Tere Parwane Bhi Iss Lazzat Se Baigane Rahe.

Rishta-E-Ulfat Mein Jab In Ko Pero Sakta Tha Too,

Phir Preshan Kion Teri Tasbeeh K Dane Rahe.

Shauq-E-Be Parwa Gaya, Fikar-E-Falak Pema Gaya,

Teri Mehfil Main Na Diwane Na Farzane Rahe,

Wo Jigar Souzi Nahin, Wo Shaola Ashaami Nahi,

Faida Phir Kia Jo Gird-E-Shama Parwane Rahe.

Khair, Too Saqi Sahi Lekin Pilaye Ga Kise,

Ab Na Woh Mai-Kash Rahe Baqi Na Maikhane Rahe.

Ro Rahi Hai Aaj Ek Tooti Howi Meena Usse.

Kal Talak Gardish Mein Jis Saqi K Paimane Rahe,

Aaj Hain Khamosh Wo Dasht-E- Junoon Parwar Jahan.

Raqs Mein Laila Rahi, Laila K Diwane Rahe,

Waye Nakami Mataa-E-Karwan Jata Raha,

Karwan K Dil Se Ehsas-E-Ziyan Jata Raha.

Jin K Hangamon Se The Aabad Werane Kabhi,

Shehr Un K Mit Gaye Abadiyan Ban Ho Gaeen.

Siwat-E-Toheed Qayam Jin Namazon Se Hoi,

Wo Namazain Hund Mein Nazar-E-Barhman Ho Gaeen,

Dehr Mein Aysh-E-Dawam Aaeen Ki Pabandi Se Ha,

Mouj Ko Azadiyan Saman-E-Shewan Ho Gain,

Khud Tajalli Ko Tamanna Jin K Nazaron Ki Thi,

Wo Nigahain Na Umeed-E-Noor-E-Aeman Ho Gaeen.

Urti Phirti Theen Hazaron Bulbulain Gulzar Mein Dil Mein,

Kia Aai K Paband-E- Nasheman Ho Gaeen.

Wusat-E-Gardoon Mein Thi Un Ki Tarap Nazara Sooz,

Bijliyan Aasuda-E-Damaan-E-Khirman Ho Gaeen.

Didah-E-Khunbar Ho Minnat Kash-E-Gulzar Kion,

Ashak-E-Peham Se Nigahain Gul Ba Daman Ho Gain,

Sham-E-Gham Lekin Khabar Detai Hai Subah-E-Eid Ki,

Zulmat-E-Shab Mein Nazar Aai Kiran Umeed Ki.

Muzda Ae Paimana Bardaar-E- Khumistan-E-Hijaz,

Baad Muddat K Tere Rindon Ko Phir Aaya Hai Hosh,

Naqad-E-Khuddari Bahaye Badah-E-Aghyar Thi,

Phir Dukan Teri Hai Labraiz-E-Sada-E-Nau Nosh.

Tootne Ko Hai Talism-E-Mah Simayaan-E-Hind,

Phir Sulemaa Ko Nazar Deti Hai Peghaam-E-Kharosh,

Phir Ye Ghogha Hai K La Saqi Sharab-E-Khana Saaz,

Dil K Hangame Mai-E-Maghrib Ne Kar Dale Khamosh.

Naghma Paira Ho K Ye Hangam-E-Khamoshi Nahin,

Hai Sehar Ka Asman Khursheed Se Meena Badosh.

Dar Gham-E-Deegar Basouz-O-Deegran Rahum Basouz,

Guftmat Roshan Hadise Gar Towani Daar Gosh.

Keh Gaye Hain Shayari Juzweest Az Peghambari,

Han Suna De Mehfil-E-Millat Ko Pegham-E-Sarosh,

Aankh Ko Baidar Kar De Wadaa-E- Deedar Se,

Zinda Kar De Dil Ko Sooz-E-Jouhar-E-Guftar Se.

Rahzan-E-Himmat Howa Zauq-E-Tan Asani Tera,

Beher Tha Sehra Mein Too, Gulshan Mein Misl-E-Joo Howa.

Apni Asleeyat Pe Qayaam Tha To Jamiat Bhi Thi,

Chor Kar Gul Ko Preshan Karwaan-E-Boo Howa.

Zindagi Qatre Ko Sikhlaati Hai Asrar-E-Hayaat,

Ye Kabhi Gohar, Kabhi Shabnam, Kabhi Ansu Howa,

Phir Kahin Se Iss Ko Paida Kar Bari Doulat Hai Ye,

Zindagi Kaisi Jo Dil

Begana-E-Pehloo Howa.

Aabru Baqi Teri Millat Ki Jamiat Se Thi,

Jab Ye Jamiat Gai, Dunia Mein Ruswa Too Howa.

Fard Qayam Rabt-E-Millat Se Hai, Tanha Kuch Nahin,

Mooj Hai Daria Mein Aur Bairun-E-Daria Kuch Nahin.

Parda-E-Dil Mein Mohabbat Ko Abhi Mastoor Rakh,

Yani Apni Mai Ko Ruswa Soorat-E-Meena Na Kar,

Khima-Zan Ho Wadi-E-Seena Mein Manind-E-Kaleem,

Shaola-E-Tehqeeq Ko Gharatgar-E-Kashana Kar.

Shama Ko Bhi Ho Zara Maloom Anjam-E-Sitam,

Sarf-E-Tameer-E-Sehar Khakstar-E-Parwana Kar.

Too Agar Khuddar Hai, Minnat Kash-E-Saqi Na Ho,

Ayn Daria Mein Habaab Aasa Nigoon Pema Na Kar.

Kaifiat Baqi Purane Koh-O-Sehra Mein Nahi,

Hai Junoon Tera Naya, Paida Naya Weerana Kar,

Khak Mein Tujh Ko Muqadar Ne Mila Hai Agar,

To Asa Uftaad Se Paida Misal-E-Dana Kar.

Haan, Issi Shakh-E-Kuhan Par Phir Bana Le Ashiyan,

Ahl-E-Gulshan Ko Shaheed-E- Naghma-E-Mastana Kar.

Iss Chaman Mein Pairwe Bulbul Ho Ya Talmeez-E-Gul,

Ya Sarapa Nala Ban Ja Ya Nawa Paida Na Kar.

Kion Chaman Mein Be Sada Misl-E-Ram-E-Shabnam Hai Too,

Lab Kusha Ho Ja, Surood-E-Barbat-E-Alam Hai Too,

Ashna Apni Haqiqat Se Ho Ae Dehqan Zara,

Dana Too Khaiti Bhi Too Baran Bhi Too.

Aah, Kis Ki Justujoo Aawara Rakhti Hai Tujhe,

Rah Too Rahru Bhi Too Rahbar Bhi Too Manzil Bhi Too.

Kanpta Hai Dil Tera Andesha-E-Toofan Se Kia,

Na Khuda Too Beher Too Kashti Bhi Too Sahil Bhi Too.

Dekh Aa Kar Kaucha-E-Chaak-E-Greban Mein Kabhi,

Qais Too Laila Bhi Too Sehra Bhi Too,

Waye Nadani Ke Too Mouhtaj-E-Saqi Ho Gia,

Mai Bhi Too Meena Bhi Too Saqi Bhi Too Mehfil Bhi Too.

Shaola Ban Kar Phoonk De Khashak-E-Ghair Allah Ko,

Khof-E-Batil Kia Ke Hai Gharatgar-E-Batil Bhi Too.

Be Khabar Too Jouhar-E-Aaeena-E-Ayyam Hai,

Too Zamane Mein Khuda Ka Akhri Pegham Hai.

Apni Asliyat Se Ho Agah Ae Ghafil Ke Too,

Qatra Hai Lekin Misal-E-Behr Be Payan Bhi Hai,

Koin Giraftar-E-Tilism-E-Haich Maqdari Hai Too,

Dekh To Poushida Tujh Mein Shoukat-E-Toofan Bhi Hai.

Seena Hai Tera Amen Uss K Payam-E-Naaz Ka,

Jo Nazam-E-Dehr Mein Paida Bhi Hai, Pinhan Bhi Hai.

Haft Kishor Jis Se Ho Taskheer Be Taigh-O-Tafnang,

Too Agar Samjhe To Tere Paas Woh Saman Bhi Hai.

Ab Talak Shahid Hai Jis Par Koh-E-Faran Ka Sukoot,

Aye Taghafil Paisha Tujh Ko Yaad Woh Paiman Bhi Hai,

Too Hi Nadaan Chand Kaliyon Par Qinaat Kar Gaya,

Warna Gulshan Mein Alaj-E-Tangi-E-Damaan Bhi Hai.

Dil Ki Kaifiat Hai Paida Parda-E-Taqreer Mein,

Kiswat-E-Meena Mein Mai Mastoor Bhi, Uryan Bhi Hai.

Phoonk Dala Hai Meri Aatish Nawayi Ne Mujhe,

Aur Meri Zindagaani Ka Yehi Samaan Bhi Hai.

Raaz Iss Aatish Nawai Ka Mere Seene Mein Dekh,

Jalwa-E-Taqdeer Mere Dil Ke Aaine Mein Dekh,

Aasman Ho Ga Sehar Ke Noor Se Aaina Posh,

Aur Zulmat Raat Ki Seemab Pa Ho Jaye Gi.

Iss Qadar Ho Gi Tarannum Aafreen Baad-E-Bahar,

Nukhat-E-Khawabeeda Ghunche Ki Nawa Ho Jaye Gi.

Aa Milain Ge Seena Chakaan-E-Chaman Se Seena Chaak,

Bazm-E-Gul Ki Hum Nafas Baad-E-Saba Ho Jaye Gi.

Shabnam Afshani Meri Paida Kare Gi Souz-O-Saaz,

Iss Chamanki Har Kali Dard Ashna Ho Jaye Gi,

Shabnam Afshani Meri Paida Kare Gi Souz-O-Saaz,

Iss Chamanki Har Kali Dard Ashna Ho Jaye Gi.

Dekh Lo Ge Sitwat-E-Raftar-E-Daria Ka Maal,

Mouj-E-Muztar Hi Isse Zanjeer Pa Ho Jaye Gi.

Phir Dilon Ko Yaad Aa Jaye Ga Paigham-E-Sujood,

Phir Jabeen Khak-E-Haram Se Aashna Ho Jaye Gi.

Nala-E-Sayad Se Hon Ge Nawa Saman-E-Tayoor,

Khoon-E-Gulcheen Se Kali Rangeen Qaba Ho Jaye Gi,

Ankh Jo Kuch Dekhti Hai, Lab Pe Aa Sakta Nahi,

Mehw-E-Hairat Hun Ke Dunia Kia Se Kia Ho Jaye Gi.

Shab Gurezan Ho Gi Akhir Jalwa-E-Khursheed Se,

Ye Chaman Maamoor Ho Ga Naghma-E-Touheed Se..........!

.....THE AND.....

Book:

Bang e Dara

Page: 141,151 

 

No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo