Rang Khushboo Main Agar Hal Ho Jaye Vasal Ka Khuwaab Mukamal Ho Jaye

 

Poetess:Parveen Shakir

Type By

*.__NOMI__.*

 

Rang Khushboo Main Agar Hal Ho Jaye

Vasal Ka Khuwaab Mukamal Ho Jaye


Chaand Ka Chooma Howa Surkh Gulaab

Teetri Dekhe To Pagal Ho Jaye


Main Andheron Ko Ujaalon Aisay

Teergi Aankh Ka Kaajal Ho Jaye


Doush Par Baarishein Le Ke Ghoomain

Main Hawa Aur Wo Baadal Ho Jaye


Naram Sabzaiy Par Zara Jhuk Ke Chalay

Shabnami Raat Ka Aanchal Ho Jaye


Umar Bhar Thaamay Rahay Khushboo Ko

Phool Ka Haath Magar Shal Ho Jaye


Chir'rya Pat'ton Main Simat Kar Soyi

Pair'r Yun Pailay Keh Jungal Ho Jaye......!

 

**********NOMI**********

 

No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo