Manzar Hai Wohi Thathak Rahi Hoon, Hairat Se Palak Jhapak Rahi Hoon

 

Poetess:Parveen Shakir

Type By

*.__NOMI__.*


Manzar Hai Wohi Thathak Rahi Hoon,

Hairat Se Palak Jhapak Rahi Hoon


Ye Tuo Hai Keh Maira Wehem Hai !

Band Aankhon Se Tujh Ko Tak Rahi Hoon


Jaisay Keh Kabhi Na Tha Ta'aruf,

Yun Miltay Howe Jhijak Rahi Hoon


Pehchaan ! Main Teri Roshni Hoon,

Aor Teri Palak Palak Rahi Hoon


Kiya Chain Mila Hai----Sir Jo Iske

Shanon Pe Rakhay Sisak Rahi Hoon


Pathar Pe Khili,Keh Chasham Gul Main

Kaantay Ki Tarah Khatak Rahi Hoon


Jugnoo Kahin Thak Ke Gir Chuka Hai

Jungal Main Kahan Bhatak Rahi Hoon


Gur'rya Meri Soch Ki Chhanni Kiya

Bachi Ki Tarah Bilak Rahi Hoon


Ik Umar Howi Khud Se Lar'rtay

Andar Se Tamam Thak Rahi Hoon


Rus Phir Se Jar'ron Main Ja Raha Hai

Main Shakh Pe Kab Se Pak Rahi Hoon


Takhleeq-E-Jamaal-E-Fun Ka Lamha !

Kaliyon Ki Tarah Chatakh Rahi Hoon.........!

 

**********NOMI**********

 

Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Ik Main Pheeki Chaah Naein Peenda Doja Thandi Chaah Naein Peenda

Hum Ne Tujhe Jana Hai Faqat Teri Aata Se Woh Hamdia Kalam Jis Ki Aawaz Aur Kalam Ko Allama Iqbal Se Mansoob Kia Jata Hai