Apni Hi Sadaa Sunon Kahan Tak? Jungal Ki Hawa Rahon Kahan Tak?

 

Poetess:Parveen Shakir

Type By

*.__NOMI__.*

 

Apni Hi Sadaa Sunon Kahan Tak?

Jungal Ki Hawa Rahon Kahan Tak?


Har Baar Hawa Na Hogi Dar Par

Har Baar Magar Uthon Kahan Tak?


Dum Ghut'ta Hai Ghar Main Hubs Wo Hai

Khushbo Ke Liye Apna Raffu Karon Kahan Tak?


Saahil Pe Samandaron Se Bach Kar

Main Naam Tera Likhon Kahan Tak?


Tanhayi Ka Ek Ek Lamha

Hungaamon Se Qarz Loon Kahan Tak?


Gar Lams Nahi To Lafz Hi Bhej

Main Tujh Se Juda Rahon Kahan Tak?


Sukh Se Bhi To Dosti Kabhi Ho

Dukh Se Hi Galay Milon Kahan Tak?


Mansoob Ho Har Kiran Kisi Se

Apne Hi Liye Jaloon Kahan Tak?


Aanchal Mere Bhar Ke Phat Rahay Hain

Phool Us Ke Liye Chunon Kahan Tak???

 

**********NOMI**********

 

Comments

Popular posts from this blog

Dukh Ye Hai Mera Yousaf o Yaqoob Ke Khaliq Woh Log Bhi Bichdey Jo Bichadnay Ke Nahi Thay

Mere Tan Ke Zakham Na Gin Abhi Meri Aankh Mein Abhi Noor Hai

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein