Main Dhoond Raha Hon Zindagi Kitatabon Mein Koi To Ishara Hoga Jeeney Ka Nisabon Mein

Poet:Ayaz Khan
Main Dhoond Raha Hon Zindagi Kitatabon Mein
Koi To Ishara Hoga Jeeney Ka Nisabon Mein

Yun Lagta Hai Keh Wo Aas Paas Hai Mere
Tamam Umar Guzar Di Main Ne In Sarabon Mein

Zindagi Dukhon Ke Siwa Kuch Nahi Janan
Kahan Se Laon Main Sukoon In Khrabon Mein

Meri Aankhon Ki Veerani Ki Haqeeqat Ye Hai
Main To Kab Ka Mar Chuka Hon Khuwabon Mein

Aaj Har Rang Ke Miltey Hain Gulaab Bazar Mein Ayaz
Par Milti Nahi Khushbo Jhulsey Hoe Gulabon Mein
شاعر ایاز خان
انتخاب 
عروسہ ایمان
غزل
میں ڈھونڈ رھاہوں زندگی کتابوں میں
کوئی تو اِشارہ ھوگا جینے کا نصابوں میں
یوں لگتا ہے کے وہ آس پاس ہے میرے
تمام عمر گزاردی میں نے اِن سرابوں میں
زندگی دکھوں کے سوا کچھ نہیں جانا
کہاں سے لاؤں میں سکون اِن خرابوں میں
میری آنکھوں کی ویرانی کی حقیقت یہ ہے
میں تو کب کا مر چکا ہوں خوابوں میں
آج ہر رنگ کے ملتے ہیں گلاب بازار میںایاز
پر ملتی نہیں خوشبو جھلسے ہوۓ گلابوں میں...........................!

No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo