Qurbat bhi naheen,dil se uttar bhi naheen jata wo shakhs koi fesla,kr bhi naheen jata


Qurbat bhi naheen,dil se uttar bhi naheen jata
wo shakhs koi fesla,kr bhi naheen jata
aankhen han,k khali naheen rahteen lahoo se
aur zakham e judai ha,k bhar bhi naheen jata
hm dohri azyat k gariftar ,musafir
paaoon bhi shal han,shoq e safer bhi naheen jata
dil ko teri chahat pe bharosa bhi,bohat ha
aur tujh se bicharnay ka,dar bhi naheen jata
pagal huae jata hoon FARAZ ,us se milnay ko
itni si khushi se,koi mar bhi naheen jata

Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Ik Main Pheeki Chaah Naein Peenda Doja Thandi Chaah Naein Peenda

Hum Ne Tujhe Jana Hai Faqat Teri Aata Se Woh Hamdia Kalam Jis Ki Aawaz Aur Kalam Ko Allama Iqbal Se Mansoob Kia Jata Hai