Koi romance na reha zindagi mein Koi fasana na reha zindagi mein



Ao ik kahani chor jaen..........
My latest 29 April 29, 2017
Koi romance na reha zindagi mein
Koi fasana na reha zindagi mein
Kaisa ye waqt agea hae dosto
Kea, yehi zindagi hae dosto
Wo baharein, wo mosam, wo nadya kinarey
Wo sab yaadein tumhari or hamari
Wo sab pal hamarey or tumharey
Wo koyal ke koonj
Wo chiryon ka chehchahana
Ab zindagi mein kahan
Ao in sab lamhon ko
In sab yaadon ko
Samaet lein, or phir, iss kahani ko
Lazawaal kahani bana dein
Hamari or tumhari kahani
Or zamaney mein apni kahani
Chor jaen, ik aisey kahani
Jo sab ko yaad rahey
Ao ik kahani chor jaen
Farquleet Mahmood

No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo