Aik tareekh e muqarar pe to har maah milay Jaise daftar mein kisi shakhs ko tankhuwa milay



ایک تاریخِ مقرّر پہ تو ہر ماہ مِلے
جیسے دفتر میں کسی شخص کو تن خواہ مِلے

رنگ اُکھڑ جائے تو ظاہر ہو پلَستر کی نمی
قہقہہ کھود کے دیکھو تو تمہیں آہ ملے

جمع تھے رات مِرے گھر ' ترے ٹھکرائے ہوئے
ایک درگاہ پہ سب راندہِ درگاہ ملے

میں تو اک عام سپاہی تھا حفاظت کے لئے
شاہ زادی ! یہ ترا حق تھا' تجھے شاہ ملے

ایک اداسی کے جزیرے پہ ہوں اشکوں میں گِھرا
میں نکل جاؤں اگر خشک گذرگاہ ملے

اک ملاقات کے ٹلنے کی خبر ایسے لگی
جیسے مزدور کو ہڑتال کی افواہ ملے

گھر پہُنچنے کی نہ جلدی ' نہ تمنّا ہے کوئی
جس نے مِلنا ہو مجھے' آئے۔۔۔۔۔ سرِ راہ ملے

عُمیــــر نجـــــــمی

Aik tareekh e muqarar pe to har maah milay
Jaise daftar mein kisi shakhs ko tankhuwa milay

Rang ukharr jae to zahir ho plaster ki namii
Qehqaha khod ke dekho to tumain aah milay

Jamaa they raat mere ghar, tere thukraey huay
Aik dargaah pe sabhi raanda e dargaah milay

Main to ik aam sipahii thaa hifazat ke liye
Shah-zadi ! ye tera haq tha ' tujhe shah milay

Aik udaasi ke jazeere pe hoon ashqoo'n main ghira
Mai'n nikal jao'n agar khushk guzar'gaah milay

Ik mulaqaat ke talnay ki khabar aise lagi
Jaise mazdoor ko hartaal ki afwahh milay

Ghar pohuchnay ki na jaldi , na tamanna hai koi
Jis Ne milna ho Mujhe , aae ... sar e raah milay

Umair Najmi

No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo