Setaro mein akela chaand si thi wo phoolon ka mehekta guldan si thi wo Thi nadi jaisi aviral,chanchal mere dil ka haal si thi wo



Setaro mein akela chaand si thi wo
phoolon ka mehekta guldan si thi wo
Thi nadi jaisi aviral,chanchal
mere dil ka haal si thi wo

Ghani dhoop mein chav si thi wo
Kisi geet ki addaon si thi wo
Thi hawa si mehekti, komal
Mere dil ka bhav si thi wo

Beech manjhdhaar mein nav si thi wo
Khushion ka pura gaon si thi wo
Thi koyal si meethi,nishchal
Mere man ka abhiman si thi wo

Paido par wo patto waali hari bhari koi daal si thi wo
Holi ke rango mein sabse saadi ek akeli gulaal si thi wo
Thi wadi kasmiri koi
Mere geeton ka sur aur taal si thi wo

Mandir mein wo shankhnaad si,pooja ka prasad si thi wo
Baarish mein mitti ki khushboo,badal ka dharti se sanvaad si thi wo
Thi meri wo beti pyari,usse hi ghar 'harshit' tha
Mere ghar mein sooraj si,Mere ghar ki shaan si thi wo

Thi ab wo jo nahi rahi,aakhir khata kya thi ki usne
mana hi to kia tha na beta shaadi se,
Par dosti ka haath bhi to badhaya tha
Teri Bezatti toh nahi thi ki usne
phir kyun tune usko har ghar badnaam kia
Dushman na kare,dost hokar tune aisa kaam kia
Chali gayi ab chhod ke mujhko,wo akele jeevan ki saanjh mein
Meri khushiyan,meri duniya,meri pyari jaan si thi wo
Meri pyari jaan si thi wo

No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo