Aaj Phir Dard o Gham Ke Dhagay Mein Hum Pero Kar Tere Khayal Ke Phool
آج پھر درد و غم کے دھاگے میں ہم پرو کر ترے خیال کے پھول Aaj Phir Dard o Gham Ke Dhagay Mein Hum Pero Kar Tere Khayal Ke Phool ترکِ الفت کے دشت سے چن کر آشنائی کے ماہ و سال کے پھول Tark e Ulfat Ke Dasht Se Chun Kar Aashnaai Ke Maah o Saal Ke Phool تیری دہلیز پر سجا آئے پھر تری یاد پر چڑھا آئے Teri Dahleez Par Saja Aaye Phir Teri Yaad Par Charha Aaye باندھ کر آرزو کے پلے میں ہجر کی راکھ اور وصال کے پھول Bandh Kar Aarzoo Ke Palay Mein Hijar Ki Raakh Aur Wisaal Ke Phool فیض احمد فیض Faiz Ahmad Faiz