Poochtay Ho Tou Suno Kaise Basar Hoti Hai Raat Khairaat Ki , Sadqay Ki Sahar Hoti Hai
پوچھتے ہو تو سنو کیسے بسر ہوتی ہے
رات خیرات کی، صدقے کی سحر ہوتی ہے
سانس بھرنے کو تو جینا نہیں کہتے یا رب
دل ہی دُکھتا ہے نہ اب آستیں تر ہوتی ہے
جیسے جاگی ہوئی آنکھوں میں چبھیں کانچ کے خواب
رات اس طرح دیوانوں کی بسر ہوتی ہے
غم ہی دشمن ہے مرا، غم ہی کو دل ڈھونڈتا ہے
ایک لمحے کی جدائی بھی اگر ہوتی ہے
ایک مرکز کی تلاش ایک بھٹکتی خوشبو
کبھی منزل کبھی تمہیدِ سفر ہوتی ہے
مینا کماری ناز
Poochtay Ho Tou Suno Kaise Basar Hoti Hai
Raat Khairaat Ki , Sadqay Ki Sahar Hoti Hai
Sans Bharne Ko Tou Jeena Nahi Kehtay Ya Rab
Dil Hi Dukhta Hai Na Ab Aasteen Tar Hoti Hai
Jaise Jagi Hoi Aankhon Mein Chubhein Kaanch Ke Khuwaab
Raat Is Tarah Deewanon Ki Basar Hoti Hai
Gham Hi Dushman Hai , Gham Hi Ko Dil Dhoondta Hai
Aik Lamhe Ki Judaai Bhi Agar Hoti Hai
Aik Markaz Ki Talash Aik Bhatakti Khushbo
Kabhi Manzil Kabhi Tamheed Safar Hoti Hai
Meena Kumari Naz

Comments
Post a Comment