Zindagi tu mujhe kis mod pe le aayi hai Khuwaab khulte the jahan barf wahan chhai hai



Zindagi tu mujhe kis mod pe le aayi hai
Khuwaab khulte the jahan barf wahan chhai hai
Sau dareeche hain magar shama kisi par bhi nahin
Chand nikle meri raton ka muqaddar bhi nahin
Kya karon kya na karon haath mein pathhar bhi nahin
Sheesh mahlon ko koi gham bhi nahin dar bhi nahin
Log gunge hain bayaban mein azaan kaise ho
Log qatil hain ilaaj-e-gham-e-jaan kaise ho
Log pathar hain toh ehsas-e-ziyaan kaise ho
Kis ko fursat jo pooche keh miyan kaise ho
Raat jab khatm hui thi to sehar lagti thi
Roshni rahguzar rahguzar lagti thi
Zindagi koocha-e-janan ka safar lagti thi
Apni manzil kahin jannat ke udhar lagti thi
Kuch bhi ankhon mein nahin ashk-e-nadamat ke siwa
Kuch bhi daman mein nahin dagh-e-malamat ke siwa
Kuch bhi chehre pe nahin gard-e-masafat ke siwa
Apni dukaan mein sab hai muhabbat ke siwa
QAISAR-UL-JAFRI

As the light slowly faded and the dark night
engulfed the land,I sit here, hand in chin, wondering
confused, deep in thought about what it was and what might be
as the trees swayed to the gentle lullaby of the night
sleep was the last thing on my mind
restless mind and sombre thoughts manifest inside me
my life has always been a dream
a never ending chase
often taking me to hell and back
a dream that at times seem like a nightmare
as i sit here and count the scars
these tortured thoughts scream louder and louder in my mind
a mind filled with dreams is now just filled with chaos
maybe out of chaos comes order
maybe one day but time is my enemy
I stand at the edge and wonder, as I look down
wishing that something could happen
I feel like a bird without wings

 

No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo