Tera khayal kabhi is tarah mujassam ho Agar main hath lagaoun to jan pad jaye



ترا خیال کبھی اس طرح مجسم ہو
اگر میں ہاتھ لگاؤں تو جان پڑ جائے
منظور ہاشمی

Tera khayal kabhi is tarah mujassam ho
Agar main hath lagaoun to jan pad jaye

Manzoor Hashmi


Sham ki na samajh hawa pooch rahi hai ek pata Mauj e hawa e ku e yar, kuch to mera khayal bhi



شام کی نا سمجھ ہوا پوچھ رہی ہے اک پتہ
موج ہوائے کوئے یار، کچھ تو مرا خیال بھی
پروین شاکر

Sham ki na samajh hawa pooch rahi hai ek pata
Mauj e hawa e ku e yar, kuch to mera khayal bhi

Parveen Shakir


Kasrat e jazb mein doori ko tasalsul de kar Ishq ne wasl ke maron pe sitam tod dia



کثرتِ جذب میں دوری کو تسلسل دے کر
عشق نے وصل کے ماروں پہ ستم توڑ دیا
دلاورعلی آزر

Kasrat e jazb mein doori ko tasalsul de kar
Ishq ne wasl ke maron pe sitam tod dia

Dilawar Ali Azar


Chhupne wali nahi meri chahat Teri ankhon mein jo chamakti hai



چھُپنے والی نہیں مری چاہت
تیری آنکھوں میں جو چمکتی ہے
افتخار راغبؔ

Chhupne wali nahi meri chahat
Teri ankhon mein jo chamakti hai

Iftikhar Raghib


Kishti e jan, main tujhe khud bhi dubo sakta hoon Jis muhabbat se ye gardab mujhe dekhta hai



کشتئ جاں، میں تجھے خود بھی ڈبو سکتا ہوں
جس محبت سے یہ گرداب مجھے دیکھتا ہے
منصور احمد

Kishti e jan, main tujhe khud bhi dubo sakta hoon
Jis muhabbat se ye gardab mujhe dekhta hai

Mansoor Ahmed


Masala aisa nahi hai mera humdard magar Kuch isay aur bhi dushwar ban deta hai



مسئلہ ایسا نہیں ہے مرا ہمدرد مگر
کچھ اِسے اور بھی دشوار بنا دیتا ہے
منظور ہاشمی

Masala aisa nahi hai mera humdard magar
Kuch isay aur bhi dushwar ban deta hai

Manzoor Hashmi


Yehi nahi ke faqat hum hi iztirab mein hain Hamare bhoolne wale bhi is azab mein hain



یہی نہیں کہ فقط ہم ہی اضطراب میں ہیں
ہمارے بھولنے والے بھی اس عذاب میں ہیں
اعتبار ساجد

Yehi nahi ke faqat hum hi iztirab mein hain
Hamare bhoolne wale bhi is azab mein hain

Aitbar Sajid


Daiyra aik tere gird banane ke siwa Dil ki parkar ne har zaviya adha rakha



دائرہ ایک ترے گرد بنانے کے سوا
دل کی پرکار نے ہر زاویہ آدھا رکھا
ناصرہ زبیری

Daiyra aik tere gird banane ke siwa
Dil ki parkar ne har zaviya adha rakha

Nasra Zubairi


Sab aas paas ke manzar hatane padte hain Kisi ko jate huay door dekhne ke liye



سب آس پاس کے منظر ہٹانا پڑتے ہیں
کسی کو جاتے ہوئے دُور دیکھنے کے لیے

ہمارے پاس عجب کم نظر مسیحا تھا
جو زخم کرتا تھا ناسور، دیکھنے کے لیے
صائمہ آفتاب

Sab aas paas ke manzar hatane padte hain
Kisi ko jate huay door dekhne ke liye

Hamare paas ajab kam nazar maseeha tha
Jo zakhm karta tha nasoor, dekhne ke liye

Saima Aftab


Us ki ankhon ka bolta manzar Jane itna udas sa kyun tha



اُس کی آنکھوں کا بولتا منظر
جانے اتنا اداس سا کیوں تھا
منیر انور

Us ki ankhon ka bolta manzar
Jane itna udas sa kyun tha

Munir Anwer


Firaq e yar ne bechain mujh ko rat bhar rakha Kabhi takiya idhar rakha, kabhi takiya udhar rakha



فراق یار نے بے چین مجھ کو رات بھر رکھا
کبھی تکیہ ادھر رکھا کبھی تکیہ ادھر رکھا
امیر مینائی

Firaq e yar ne bechain mujh ko rat bhar rakha
Kabhi takiya idhar rakha, kabhi takiya udhar rakha

Ameer Meenaiy


Khuda kare ke wohi mojze ki sa’at ho Hamare dard ka har harf jab dua ho jaye



خدا کرے کہ وہی معجزے کی ساعت ہو
ہمارے درد کا ہر حرف جب دعا ہو جائے
منظور ہاشمی

Khuda kare ke wohi mojze ki sa’at ho
Hamare dard ka har harf jab dua ho jaye

Manzoor Hashmi


Uga hoon khak se main baad e marg gul ban kar Jo dastaras ho to tere gale ka haar hoon main



اُگا ہوں خاک سے میں بعد مرگ گل بن کر
جو دسترس ہو تو تیرے گلے کا ہار ہوں میں
سیّد نظام الدین دلگیرؔ

Uga hoon khak se main baad e marg gul ban kar
Jo dastaras ho to tere gale ka haar hoon main

Syed Nizamuddin Dilgeer


Karta nahi hoon yad kisi ko malal mein Aisi hawa mein phool khhilata nahi hoon main



کرتا نہیں ہوں یاد کسی کو ملال میں
ایسی ہوا میں پھول کھلاتا نہیں ہوں میں
اکبر معصوم

Karta nahi hoon yad kisi ko malal mein
Aisi hawa mein phool khhilata nahi hoon main

Akbar Masoom


Ek umr namu ki khwahish mein mausam ke jabr sahe to khhula Har khushbu aam nahi hoti har phool gulab nahi hota



اک عمر نمو کی خواہش میں موسم کے جبر سہے تو کھلا
ہر خوشبو عام نہیں ہوتی ہر پھول گلاب نہیں ہوتا
سلیم کوثر

Ek umr namu ki khwahish mein mausam ke jabr sahe to khhula
Har khushbu aam nahi hoti  har phool gulab nahi hota

Saleem Kauser


Ho na ho aik hi tasveer ke do pehlu hain Raqs karta hua tu, aag mein jalta hua main



ہو نہ ہو ایک ہی تصویر کے دو پہلو ہیں
رقص کرتا ہوا تُو، آگ میں جلتا ہوا میں
شاہد ذکی

Ho na ho aik hi tasveer ke do pehlu hain
Raqs karta hua tu, aag mein jalta hua main

Shahid Zaki


Hum ko thapak thapak ke dikhhaye gaye thay khwab Khmaosh kyun ho ab humen tabeer e khwab do



ہم کو تھپک تھپک کے دکھائے گئے تھے خواب
خاموش کیوں ہو اب ہمیں تعمیرِ خواب دو
جون ایلیا
Hum ko thapak thapak ke dikhhaye gaye thay khwab
Khmaosh kyun ho ab humen tabeer e khwab do

Joan Elia


Ek talluq ki dor tooti hai Jism apna kati patang lage



اک تعلق کی ڈور ٹوٹی ہے
جسم اپنا کٹی پتنگ لگے

اس کے دل تک رسائی ناممکن
کیسے کہسار کو سرنگ لگے
کومل جوئیہ

Ek talluq ki dor tooti hai
Jism apna kati patang lage

Us ke dil tak rasaiy na mumkin
Kaise kuhsar ko surang lage

Komal Juyia


Tanha hi kiye jata tha main raqs e judaiy Ab tum bhi chale aye ho, ab ho ga tamasha



تنہا ہی کیے جاتا تھا میں رقصِ جدائی
اب تم بھی چلے آئے ہو، اب ہو گا تماشہ
سعید راجہ

Tanha hi kiye jata tha main raqs e judaiy
Ab tum bhi chale aye ho, ab ho ga tamasha

Saeed Raja


Hamara gosha e dil hai ke ek chaman jis mein Tumhari yad mehekti hai motiye ki tarah



ہمارا گوشۂ دِل ہے کہ اِک چمن جِس میں
تُمہاری یاد مہـکتی ہـے موتِیے کی طـرح
ن م راشد

Hamara gosha e dil hai ke ek chaman jis mein
Tumhari yad mehekti hai motiye ki tarah

Noon Meem Rashid


Mujhe bhi khak, tujhe bhi hawa to hona tha Ke rang o bu ko kahin par juda to hona tha



مجھے بھی خاک، تجھے بھی ہوا تو ہونا تھا
کہ رنگ و بُو کو کہیں پر جدا تو ہونا تھا
خاور احمد

Mujhe bhi khak, tujhe bhi hawa to hona tha
Ke rang o bu ko kahin par juda to hona tha

Khawar Ahmed


Ab to ghhul mil gaye hain apas mein Nagihani tumhara dar aur main



اب تو گھل مل گئے ہیں آپس میں
ناگہانی تمہارا ڈر اور میں
فرحت عباس شاہ

Ab to ghhul mil gaye hain apas mein
Nagihani tumhara dar aur main

Farhat Abbas Shah


Muntazir ankhen kisi taq mein bujh jayen gi Koi ho ga hi nahi koi agar aye ga



منتظر آنکھیں کسی طاق میں بجھ جائیں گی
کوئی ہو گا ہی نہیں کوئی اگر آئے گا
مقصود وفا

Muntazir ankhen kisi taq mein bujh jayen gi
Koi ho ga hi nahi koi agar aye ga

Maqsood Wafa


Main sochta hoon, mujhe sochna to chahiye tha Be aitbar pe phir aitbar karte huay



میں سوچتا ہوں، مجھے سوچنا تو چاہیے تھا
بے اعتبار پہ پھر اعتبار کرتے ہوئے
منیر انور

Main sochta hoon, mujhe sochna to chahiye tha
Be aitbar pe phir aitbar karte huay

Munir Anwer


Kisi khayal kisi khwab ke liye Khursheed Diya dareeche mein rakha tha, dil jalaya tha



کسی خیال، کسی خواب کے لیے خورشیدؔ
دیا دریچے میں رکھا تھا دل جلایا تھا
خورشیدؔ ربانی

Kisi khayal kisi khwab ke liye Khursheed
Diya dareeche mein rakha tha, dil jalaya tha

Khursheed Rabbani


Kaash hasil mujhe ye rang e tamasha hota Roz o shab samne tera rukh e zebra hota



کاش حاصل مجھے یہ رنگِ  تماشہ ہوتا  
‏روز و شب سامنے تیرا رخِ زیبا ہوتا
Kaash hasil mujhe ye rang e tamasha hota
Roz o shab samne tera rukh e zebra hota

 
‏پیر سید نصیر الدین نصیر شاہ گیلانی
Peer Syed Naseeruddin Naseer Shah Gilani


Ab na laye ga koi us ka pata mere liye Aur wahan koi na ab meri khabar le jaye ga



اب نہ لائے گا کوئی اُس کا پتہ میرے لیے
اور وہاں کوئی نہ اب میری خبر لے جائے گا 

Ab na laye ga koi us ka pata mere liye
Aur wahan koi na ab meri khabar le jaye ga

اس قدر خالی ہُوا بیٹھا ہوں اپنی ذات میں
کوئی جھونکا آئے تو جانے کدھر لے جائے گا

Is qadar khali hua baitha hoon apni zat mein
Koi jhaunka aye to jane kidhar le jaye ga

 
راجیندر منچندا بانی
Rajendra Manchanda Bani


Dil ka aalam to aik jaisa hai Rat jaye ke ab sehr aye



دل کا عالم تو ایک جیسا ہے
رات جائے کہ اب سحر آئے
محسن نقوی

Dil ka aalam to aik jaisa hai
Rat jaye ke ab sehr aye

Mohsin Naqvi


Ek musalsal daud mein hain manzilen aur raaste Pa’on to apni jagah hain raaste apni jagah



اک مُسلسل دوڑ میں ہیں منزلیں اور فاصلے
پاؤں تو اپنی جگہ ہیں راستے اپنی جگہ
اِفتخار اِمام صِدیقی

Ek musalsal daud mein hain manzilen aur raaste
Pa’on to apni jagah hain raaste apni jagah

Iftikhar Imam Siddiqui


Youn bedili ke hath se khali pada hai dil Jaise koi makan ho asbab ke baghair



یوں بے دلی کے ہاتھ سے خالی پڑا ہے دل
جیسے کوئی مکان ہو اسباب کے بغیر
لیاقت علی عاصم

Youn bedili ke hath se khali pada hai dil
Jaise koi makan ho asbab ke baghair

Liaquat Ali Asim


Apni apni chahaten hain, loag ab jo bhi kahen Ek pari paiker ko ek ashufta sar acha laga



اپنی اپنی چاہتیں ہیں، لوگ اب جو بھی کہیں
اک پری پیکر کو اک آشفتہ سر اچھا لگا
احمد فرازؔ

Apni apni chahaten hain, loag ab jo bhi kahen
Ek pari paiker ko ek ashufta sar acha laga

Ahmed Faraz


Tumhare naqsh e qadam par jabeen rakh rakh kar Rahi hai der talak ashkbar tanhaiy



‏تمہارے نقشِ قدم پر جبین رکھ رکھ کر
رہی ہے دیر تلک اشکبار تنہائی
عدیم ہاشمی

Tumhare naqsh e qadam par jabeen rakh rakh kar
Rahi hai der talak ashkbar tanhaiy

Adeem Hashmi


Main zindagi ko museebat shumar karta tha Phir us ne aa ke bataya ke ye mubabbat hai



میں زندگی کو مصیبت شمار کرتا تھا
پھر اس نے آ کے بتایا کہ یہ محبت ہے
شائق سعیدی

Main zindagi ko museebat shumar karta tha
Phir us ne aa ke bataya ke ye mubabbat hai

Shaaiq Saeedi


Dard aisa hai ke seene mein samata bhi nahi Hamsne deta bhi nahi aur rulata bhi nahi



درد ایسا ہے کہ سینے میں سماتا بھی نہیں
ہنسنے دیتا بھی نہیں اور رُلاتا بھی نہیں
باقر نقوی

Dard aisa hai ke seene mein samata bhi nahi
Hamsne deta bhi nahi aur rulata bhi nahi

Baqar Naqvi


Tumhari bat abhi goonjti hai kanon mein Tumhara lams meri ungliyon mein shamil hai Hamare beech judaiy ke mani kuch bhi nahi



تُمہاری بات ابھی گونجتی ہے کانوں میں
تُمہارا لمس مری اُنگلیوں میں شامل ہے
ہمارے بیچ جُدائی کے معنی کچھ بھی نہیں
شوزب حکیم

Tumhari bat abhi goonjti hai kanon mein
Tumhara lams meri ungliyon mein shamil hai
Hamare beech judaiy ke mani kuch bhi nahi

Shozib Hakeem


Dar ba dar ho ke bhi jo teri taraf dekhte thay Wo tere khamaman barbad bhi ab tere nahi



دربدر ہو کے بھی جو تیری طرف دیکھتے تھے
وہ ترے خانماں برباد بھی اب تیرے نہیں
افتخار عارف

Dar ba dar ho ke bhi jo teri taraf dekhte thay
Wo tere khamaman barbad bhi ab tere nahi

Iftikhar Arif


Kia lage ankh ke phir dil mein samaya koi Rat bhar phirta hai is shehr mein saya koi



کیا لگے آنکھ کہ پِھر دل میں سمایا کوئی
رات بھر پِھرتا ہے اِس شہر میں سایہ کوئی
ناصرکاظمی

Kia lage ankh ke phir dil mein samaya koi
Rat bhar phirta hai is shehr mein saya koi

Nasir Kazmi


Ye mere baad dareeche se lag ke roye ga Abhi to dukh ko meri ankh ka sahara hai



یہ میرے بعد دریچے سے لگ کے روئے گا
ابھی تو دُکھ کو میری آنکھ کا سہارا ہے

Ye mere baad dareeche se lag ke roye ga
Abhi to dukh ko meri ankh ka sahara hai


Aisa na ho ke ranj rahe phir tamam umr Ji bhar ke dekh le ke mukarrar nahi hoon main



ایسا نہ ہو کہ رنج رہے پھر تمام عُمر
جی بھر کے دیکھ لے کہ مکرر نہیں ہُوں مَیں
شبیر نازِش

Aisa na ho ke ranj rahe phir tamam umr
Ji bhar ke dekh le ke mukarrar nahi hoon main

Shabbir Nazish


Tumhari baten tasalli nahi dila payeen Tumhare honton pe hum aitbar kar rahe hain



تمہاری باتیں تسلی نہیں دلا پائیں
تمہارے ہونٹوں پہ ہم اعتبار کر رہے ہیں
علی رومی

Tumhari baten tasalli nahi dila payeen
Tumhare honton pe hum aitbar kar rahe hain

Ali Roomi


Aalam e karb hai abaad hamare andar Pur sukoon hum nazar atay hain bazahir kitne



عالمِ کرب ہے آباد ہمارے اندر
پُر سکوں ہم نظر آتے ہیں بظاہر کتنے
مظفرؔ وارثی

Aalam e karb hai abaad hamare andar
Pur sukoon hum nazar atay hain bazahir kitne

Muzaffer Warsi


Har har qadam pe samna hai hadisat ka Ye jang lag rahi hai safar lag nahi raha



ہر ہر قدم پہ سامنا ہے حادثات کا
یہ جنگ لگ رہی ہے، سفر لگ نہیں رہا
شمائلہ فاروق

Har har qadam pe samna hai hadisat ka
Ye jang lag rahi hai safar lag nahi raha

Shumaila Farooq


Sab se bada fareb hai khud zindagi Ada Is heela ju ke sath hain hum bhi bahana saz



سب سے بڑا فریب ہے خود زندگی اداؔ
اس حیلہ جو کے ساتھ ہیں ہم بھی بہانہ ساز
اداؔ جعفری

Sab se bada fareb hai khud zindagi Ada
Is heela ju ke sath hain hum bhi bahana saz

Ada Jafferi


Wo kaisi aas thi Ada jo ku ba ku liye phiri Wo kuch to tha jo dil ko aj tak kabhu mila nahi



وہ کیسی آس تھی ادا جو کو بہ کو لیے پھری
وہ کچھ تو تھا جو دل کو آج تک کبھو ملا نہیں
ادا جعفری

Wo kaisi aas thi Ada jo ku ba ku liye phiri
Wo kuch to tha jo dil ko aj tak kabhu mila nahi

Ada Jafferi


Ye zakhm zaar e tamanna hai, yan qayam na kar Na chhu ke dekh inhen ye gulab dosre hain



یہ  زخم زارِ تمنا ہے یاں قیام نہ کر
نہ چُھو کے دیکھ اِنہیں، یہ گُلاب دوسرے ہیں

مجھے حیات نے بخشی ہیں اور تعبیریں
میں کیا کروں، مری آنکھوں میں خواب دوسرے ہیں
سرور خان سرور

Ye zakhm zaar e tamanna hai, yan qayam na kar
Na chhu ke dekh inhen ye gulab dosre hain

Mujh hayat ne bakhshi hain aur tabeeren
Main kia karoon, meri ankhon mein khwab dosre hain

Sarwar Khan Sarwar


Wo musafir hi khhuli dhoop ka tha Saye phaila ke shajar kia karte



وہ مسافر ہی کھلی دھوپ کا تھا
سائے پھیلا کے شجر کیا کرتے
پروین شاکر
Wo musafir hi khhuli dhoop ka tha
Saye phaila ke shajar kia karte

Parveen Shakir


Tu mujh se alag kab ho, main tum se juda kab hon Pani men kanwal jaise rehto ho mujhe men tum



تم مجھ  سے الگ کب ہو میں تم سے جدا کب ہوں
پانی میں کنول جیسے رہتے ہو مجھی میں تم
Tu mujh se alag kab ho, main tum se juda kab hon
Pani men kanwal jaise rehto ho mujhe men tum


Ye bhi afat hai ke is daur e sitam parwar mein Tere ranjeedah tujhe ranj batane se gaye



یہ بھی آفت ہے کہ اس دورِ ستم پرور میں
ترے رنجیدہ تجھے رنج بتانے سے گئے
یونس تحسین

Ye bhi afat hai ke is daur e sitam parwar mein
Tere ranjeedah tujhe ranj batane se gaye

Younus Tehseen


Koi dast e muhabbat Tumhare narm galon ko



کوئی دستِ محبت
تمہارے نرم گالوں کو
چھونے کی تمنا میں
بیقرار سا رہتا ہے
جرار حیدر

Koi dast e muhabbat
Tumhare narm galon ko
Chhune ki tamanna mein
Beqarar sa rehta hai

Jarrar Haider


Raasta bhool ke aa nikle hain Hum tere loag nhai thay duniya



راستہ بھول کے آ نکلے ہیں
ہم ترے لوگ نہیں تھے دنیا
اشرف یوسفی

Raasta bhool ke aa nikle hain
Hum tere loag nhai thay duniya

Asharf Yousufi


Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo