Abhi ek shor sa utha hai kahein Koi khamosh ho gaya hai kahein



Abhi ek shor sa utha hai kahein
Koi khamosh ho gaya hai kahein
Hai kuch aesa ki jaisa yeh sab kuch
is se pehle bhi ho chuka hai kahein
Tujh ko kya hogaya hai ke cheezon ko
kahein rakhta hai  dhoondhta hai kahein
Jo yahan se kahein na jaata tha
Woh yahan se chala gaya kahein
Tu mujhe dhoondh main tujhe dhoondhoon
Koi hum mein se reh gaya kahein
Kitni wehshat hai darmiyaan e hujoom
Jis ko dekho gaya hua hai kahein

Jaun Elia


No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo