Ja khushi, ab tera Khuda Hafiz Gham se rishta bahal hai apna



سانس لینا وبال ہے اپنا
اب تو جینا محال ہے اپنا

ہم فقط یار کے شیدائی ہیں
بس یہ ہر دم دھمال ہے اپنا

بخش دیتے ہیں اپنے قاتل کو
ہاں یہ حسن خیال ہے اپنا

بعد تیرے جئیں گے کیسے ہم
آخری اب یہ سال ہے اپنا

ختم ہے اب تماشۂ ہستی
زندگی، اب زوال ہے اپنا

جا خوشی، اب ترا خدا حافظ
غم سے رشتہ بحال ہے اپنا
علی سرفراز

Sans lena vabal hai apna
Ab to jeena muhal hai apna

Hum faqat yar ke shaidaiy hain
Bas ye har dam dhamal hai apna

Bakhsh dete hain apne qatil ko
Han ye husn e khayal hai apna

Baad tere jayen ge hum kaise
Akhri ab ye sal hai apna

Khatm hai ab tamasha e hasti
Zindagi ab zawal hai apna

Ja khushi, ab tera Khuda Hafiz
Gham se rishta bahal hai apna

Ali Sarfraz


No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo