Mukammal dastaras mein aa gaya hai Gul e khudbeen bas mein aa gaya hai



مکمل دسترس میں آ گیا ہے
گُلِ خودبین بس میں آ گیا ہے
Mukammal dastaras mein aa gaya hai
Gul e khudbeen bas mein aa gaya hai

 
جنوں کا آتشی لہجہ سمٹ کر
لہو کے ساتھ نَس میں آ گیا ہے
Junoon ka atishi lehja simat kar
Lahu ke sath nas mein aa gaya hai

 
نہ روکو اس طرح بادِ بہاری
جہاں سارااُمس میں آ گیا ہے
Na roko is tarah baad e bahari
Jahan sara umas mein aa gaya hai

 
مجھے غم میں بسر کرنا تھا اس کو
یہ تُو بھی کس برس میں آ گیا ہے
Mujhe gham mein basar karna tha is ko
Ye tu bhi kis baras mein aa gaya hai

 
بڑے چنگھاڑتے موسم چھپائے
وجودِ دل جرس میں آ گیا ہے
Bade chinghhadte mausam chhupaye
Wujood e dil jaras mein aa gaya hai

 
مری پرچھائیوں کے سنگ مجھ تک
نجانے کس ہوس میں آ گیا ہے
Meri parchhaiyon ke sang mujh tak
Najane kis hawis mein aa gaya hai

 
کسی کا حوصلہ شہتیر بن کر
جو مجھ بیمار خس میں آ گیا ہے
Kisi ka hausla shehteer ban kar
Jo mujh beemar e khas mein aa gaya hai



یکایک خار چبھنے لگ گئے ہیں
کوئی گُل چیں قفس میں آ گیا ہے
Yakayak khar chubhne lag gaye hain
Koi gulcheen qafas mein aa gaya hai

جو کڑواہٹ انڈیلی تھی جڑوں میں
اثر پھولوں کے رس میں آ گیا ہے
Jo kadwahat undeli thi jadon mein
Asar phoolon ke ras mein aa gaya hai

 
صائمہ اسحاق
Saima Ishaq


No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo