Agar na zohra jabeenon ke darmiyan guzre To phir ye kaise kate zindagi kahan guzre



ﺍﮔﺮ ﻧﮧ ﺯﮬﺮﮦ ﺟﺒﯿﻨﻮﮞ ﮐﮯ ﺩﺭﻣﯿﺎﮞ ﮔﺰﺭﮮ
ﺗﻮ ﭘﮭﺮ ﯾﮧ ﮐﯿﺴﮯ ﮐﭩﮯ ﺯﻧﺪﮔﯽ، ﮐﮩﺎﮞ ﮔﺰﺭﮮ
Agar na zohra jabeenon ke darmiyan guzre
To phir ye kaise kate zindagi kahan guzre


ﺟﻮ ﺗیرے ﻋﺎﺭﺽ ﻭ ﮔﯿﺴﻮ ﮐﮯ ﺩﺭﻣﯿﺎﮞ ﮔﺰﺭﮮ
ﮐﺒﮭﯽ ﮐﺒﮭﯽ ﻭھﯽ ﻟﻤﺤﮯ ﺑﻼئے ﺟﺎﮞ ﮔﺰﺭﮮ
Jo tere araz o gesu ke darmiyan guzre
Kabhi kabhi wohi lamhe balaa e jan guzre


ﻣﺠﮭﮯ ﯾﮧ ﻭﮬﻢ ﺭﮬﺎ ﻣﺪّﺗﻮﮞ، ﯾﮧ ﺟﺮﺍﺕِ ﺷﻮﻕ
ﮐﮩﯿﮟ ﻧﮧ ﺧﺎﻃﺮِ ﻣﻌﺼُﻮﻡ ﭘﺮ ﮔﺮﺍﮞ ﮔﺰﺭﮮ
Mujhe ye wehm raha muddaton, ye jurrat e shauq
Kahin na khatir e masoom par giran guzra


ﮬﺮ ﺍِﮎ ﻣﻘﺎﻡِ ﻣﺤﺒّﺖ ﺑﮩﺖ ﮬﯽ ﺩﻟﮑﺶ ﺗﮭﺎ
ﻣﮕﺮ ﮬﻢ ﺍھﻞِ ﻣﺤﺒّﺖ ﮐﺸﺎﮞ ﮐﺸﺎﮞ ﮔﺰﺭﮮ
Har ek muqam e muhabbat bohat hi dilkash tha
Magar hum ehl e muhabbat kushan kushan guzre


ﺟﻨﻮﮞ ﮐﮯ ﺳﺨﺖ ﻣﺮﺍﺣﻞ ﺑﮭﯽ ﺗیرﯼ ﯾﺎﺩ ﮐﮯ ﺳﺎتھ
ﺣﺴﯿﮟ ﺣﺴﯿﮟ ﻧﻈﺮ ﺁئے ﺟﻮﺍﮞ ﺟﻮﺍﮞ ﮔﺰﺭﮮ
Junoon ke sakht marahil bhi teri yad ke sath
Haseen haseen nazar aye, jawan jawan guzre


ﻣیری ﻧﻈﺮ ﺳﮯ ﺗﺮﯼ ﺟﺴﺘﺠﻮ ﮐﮯ ﺻﺪﻗﮯ ﻣﯿﮟ
ﯾﮧ ﺍﮎ ﺟﮩﺎﮞ ﮬﯽ ﻧﮩﯿﮟ، ﺳﯿﻨﮑﮍﻭﮞ ﺟﮩﺎﮞ ﮔﺰﺭﮮ
Meri nazar se teri justuju ke sadqe mein
Ye ek jahan hi nahi, sainkron jahan guzre

 
ﮬﺠﻮﻡِ ﺟﻠﻮہ ﻣﯿﮟ ﭘﺮﻭﺍﺯِﺷﻮﻕ ﮐﯿﺎ ﮐﮩﻨﺎ
ﮐﮧ ﺟﯿﺴﮯ ﺭُﻭﺡ ﺳﺘﺎﺭﻭﮞ ﮐﮯ ﺩﺭﻣﯿﺎﮞ ﮔﺰﺭﮮ
Hujoom e jalwa mein parwaz e shauq, kia kehna
Ke jaise rooh sitaron ke darmiyan guzre


ﺧﻄﺎ ﻣﻌﺎﻑ ﺯﻣﺎﻧﮯ ﺳﮯ ﺑﺪ ﮔﻤﺎﮞ ﮬﻮ ﮐﺮ
ﺗﺮﯼ ﻭﻓﺎ ﭘﮧ ﺑﮭﯽ ﮐﯿﺎ ﮐﯿﺎ ﮬﻤﯿﮟ ﮔﻤﺎﮞ ﮔﺰﺭﮮ
Khataa moaf, zamane se bad guman ho kar
Teri wafa pe bhi kia kia humen guman guzre

 
ﻣﺠﮭﮯ ﺗﮭﺎ ﺷﮑﻮۂ ﮬِﺠﺮﺍﮞ ﮐﮧ ﯾﮧ ﮬُﻮﺍ ﻣﺤﺴﻮﺱ
ﻣﺮﮮ ﻗﺮﯾﺐ ﺳﮯ ﮬﻮ ﮐﺮ ﻭﮦ ﻧﺎﮔﮩﺎﮞ ﮔﺰﺭﮮ
Mujhe tha shikva e hijran ke ye hua ehsas
Mere qareeb se ho kar wo nagihan guzre


ﺭﮦِ ﻭﻓﺎ ﻣﯿﮟ ﺍِﮎ ﺍﯾﺴﺎ ﻣﻘﺎﻡ ﺑﮭﯽ ﺁﯾﺎ
ﮐﮧ ﮬﻢ ﺧﻮﺩ ﺍﭘﻨﯽ ﻃﺮﻑ ﺳﮯ ﺑﮭﯽ ﺑﺪ ﮔﻤﺎﮞ ﮔﺰﺭﮮ
Reh e wafa mein ek aisa muqam bhi aya
Ke hum khud apni taraf se bhi bad guman guzre

 
ﺧﻠﻮﺹ ﺟﺲ ﻣﯿﮟ ﮬﻮ ﺷﺎﻣﻞ، ﻭﮦ ﺩﻭﺭِ ﻋﺸﻖ ﻭ ﮬَﻮﺱ
ﻧﮧ ﺭﺍﺋﯿﮕﺎﮞ ﮐﺒﮭﯽ ﮔﺰﺭﺍ ﻧﮧ ﺭﺍﺋﯿﮕﺎﮞ ﮔﺰﺭﮮ
Khuloos jis mein ho shamil, wo daur e ishq o hawis
Na rayegan kabhi guzra na rayegan guzre


ﺑﮩﺖ ﺣﺴﯿﻦ ﻣﻨﺎﻇﺮ ﺑﮭﯽ ﺣﺴﻦِ ﻓﻄﺮﺕ ﮐﮯ
ﻧﺠﺎﻧﮯ ﺁﺝ ﻃﺒﯿﻌﺖ ﭘﮧ ﮐﯿﻮﮞ ﮔﺮﺍﮞ ﮔﺰﺭﮮ
Bohat haseen manazir bhi husn e fitrat ke
Najane aj tabiyat pe kyun giran guzre


ﺍُﺳﯽ ﮐﻮ ﮐﮩﺘﮯ ﮬﯿﮟ ﺟﻨّﺖ، ﺍُﺳﯽ ﮐﻮ ﺩﻭﺯﺥ ﺑﮭﯽ
ﻭﮦ ﺯﻧﺪﮔﯽ ﺟﻮ ﺣﺴﯿﻨﻮﮞ ﮐﮯ ﺩﺭﻣﯿﺎﮞ ﮔﺰﺭﮮ
Usi ko kehte hain jannat, usi ko dozakh bhi
Wo zindagi jo haseenon ke darmiyan guzre

 
ﺑﮩﺖ ﺣﺴﯿن ﺳﮩﯽ ﺻﺤﺒﺘﯿﮟ ﮔﻠﻮﮞ ﮐﯽ ﻣﮕﺮ
ﮬﺎﮰ ﻭﮦ ﺯﻧﺪﮔﯽ ﮐﺎﻧﭩﻮﮞ ﮐﮯ ﺩﺭﻣﯿﺎﮞ ﮔﺰﺭﮮ
Bohat haseen sahi suhbaten gulon ki magar
Haye wo zindagi kanton ke darmiyan guzre


ﺍﺑﮭﯽ ﺗﻮ ﺗجھ ﮐﻮ ﺑﮩﺖ ﻧﺎﮔﻮﺍﺭ ﮬﯿﮟ ﮬﻤﺪﻡ
ﻭﮦ ﺣﺎﺩﺛﺎﺕ ﺟﻮ ﺍﺏ ﺗﮏ ﺭَﻭﺍﮞ ﺩَﻭﺍﮞ ﮔﺰﺭﮮ
Abhi to tujh ko bohat nagawar hai humdam
Wo hadisat jo ab tak ravan davan guzre

 
ﺟﻨﮩﯿﮟ ﮐﮧ ﺩﯾﺪۂ ﺷاﻋﺮ ﮬﯽ ﺩیکھ ﺳﮑﺘﺎ ﮬﮯ
ﻭﮦ ﺍﻧﻘﻼﺏ ﺗﺮے ﺳﺎﻣﻨﮯ ﮐﮩﺎﮞ ﮔﺰﺭﮮ
Jinhen ke deedah e sha’ir hi dekh sakta hai
Wo inqilab tere samne kahan guzre

 
ﺑﮩﺖ ﻋﺰﯾﺰ ﮬﮯ ﻣجھ ﮐﻮ ﺍنہی ﮐﯽ ﯾﺎﺩ ﺟﮕﺮ
ﻭﮦ ﺣﺎﺩﺛﺎﺕِ ﻣﺤﺒّﺖ ﺟﻮ ﻧﺎﮔﮩﺎﮞ ﮔﺰﺭﮮ
Bohat aziz hai mujh ko unhi ki yad
Jigar
Wo hadisat e muhabbat jo nagihan guzre

 
ﺟﮕﺮ ﻣُﺮﺍﺩ ﺁﺑﺎﺩﯼ
Jigar Murad Abadi


Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Kisi Bashar Mein Hazar Khami Agar Jo Dekho Tou Chup Hi Rehna

Wo mujh ko dastiyaab bari dair tak raha Main uska intkhaab bari dair tak raha