Posts

Showing posts from June, 2013

Gardish-e-Waqt Ki Dastaras Se Juda

Image
    Poet Mohsin Naqvi    Zindgani Ki Ramaq Mangte Hain, Hum Bhi Ek Sans Ka Haq Mangte Hain, Ghurbat-e-Sham Kahan Tak Pohnchi, Ab Bagole Bhi Shafaq Mangte Hain, Aik Ujri Hoi Basti K Makeen,! Aik Dasht-e-Laq-O-Daq Mangte Hain, Tujh Ko Khat Khoon Se Likhne Wale, Apne Boseeda Warq Mangte Hain! Jo Samjhte Nahi Khud Ko MOHSIN, Mujh Se Har Bat Adaq Mangte Hain...............!  

Main Kahan Teri Dastaan Se Alag Kuch Nahi Dhool

Image
    Poet Mosin Naqvi    Main Kahan Teri Dastaan Se Alag? Kuch Nahi Dhool Karwaan Se Alag! Chand Kitna Aziz Tha Us Ko.....! Rat Tehri Mere Makaan Se Alag, Fasal-E-Gul Mein Bhi Phool Murjhaye! Ek Khizaan Aur Hai Khizaan Se Alag, Mere Qatil Nazar Na Aa Mujh Ko, Barq Rehti Hai Aashiaan Se Alag...................! Book Taloo-E-Ashk   

Main Shakh Se Urra Tha Sataron Ki Aas Mein

    Main Shakh Se Urra Tha Sataron Ki Aas Mein, Murjha K Aa Gira Hon Magar Sard Ghaas Mein, SochO To SilwatOn Se Bharii Hai Tamaam Ruhh DekhO To Ek Shikann Bhi Nahi Hai Libaas Mein.. Sehraa Ki Bood-O-Baash Hai, AchhiNa Kiun Lage Sookhi Hui Gulaab Ki Tehni Glaass Mein.. Chamke Nahi Nazar Mein Abhi Naqsh Door Ke MasrOOf Hun Abhi Aml-E-In'akaas Mein.. DhOke Se Us Hasseen Ko Agar ChOOm Bhi Lia PaaO Ge Dil Ka Zehr LabbOn Ki Mithaas Mein.. Taara Koi Riwaa-E-Shab-E-Abr Mein Na Tha Betha Tha Main Udaas Bayabaan-E-Yaas Mein.. Ju-?e-Rawaan-?e-Dasht ! Abhi Sookhna Nahi Saawan Hai Door Aur Wahi ShiddatHai Peyaas Mein.. Rehta Tha SaamNe Tra Chehra Khula Hua Parrhta Tha Main Kitaab Yahi Her Claass Mein.. KaantOn Ki Baarr Phaand Gya ThaMagar Jan?? Rasta Na Mil Saka Mujhe PhOOlOn Ki Baas Mein....!    

Mom Ki Tarha Pighlte Howe Dekha Us Ko

    Mom Ki Tarha Pighlte Howe Dekha Us Ko Rut Jo Badli To Badlty Howe Dekha Us Ko Jane Kis Ghum Ko Chupane Ki Tamana Hai Usy Aj Har Bat Pr Hanste Howe Dekha Us Ko Wo Jo Kanton Ko Bhi Narmi Se Chuwa Krta Tha Hum Ne Pholon Ko Maslte Howe Dekha Us Ko Najany Wo Duaon Mein Mangta Hai Kisy.............!    

Kahan Ho Tum Chale Aao Mohabbat Ka Taqaza Hai

Image
  Kahan Ho Tum Chale Aao Mohabbat Ka Taqaza Hai Gham-e-Duniya Se Ghabra Kr Tumhein Dil Ne Pukara Hai Kahan Ho Tum Tumhari Be-Rukhi Ek Din Hamari Jaan Le Lay Gi Qasam Tum Ko Zara Socho K Dastoor-e-Wafa Kiya Hai Kahan Ho Tum Na Hai Faryad Honton Per Na Aankhon Mein Koi Aanso Zamanay Se Mila Jo Gham Usay Geeton Mein Dhaala Hai Kahan Ho Tum Chale Aao Mohabbat Ka Taqaza Hai Gham-e-Duniya Se Ghabra Kr Tumhein Dil Ne Pukara Hai Kahan Ho Tum........?    

Tujhe Yad Karte Hain Har Sans K Bad Kabhi

Image
  Tujhe Yad Karte Hain Har Sans K Bad Kabhi Subha Se Pehle Kabhi Sham K Bad Kabhi Milo To Kuch Karen Batein Ek Jam Se Pehle Ek Jam Ke Bad Dil Ki Dewaron Pe Tera Nam Likte Hain Kabhi Fursat Mein Kabhi Kaam K Bad Mere Marne K Bad Bhi Log Tujhe Pukaren Gay Kabhi Mere NAAM Se Pehle Kabhi Mere NAAM K Bad…......!    

Tum Pyar Karna To Iqrar Mat Karna

     Tum Pyar Karna To Iqrar Mat Karna, Bahut Hi Door Kahein Wadion Se Ye Sadaa Aai, K Jab Tum Pyar Karna To Iqrar Mat Karna, K Jo Iqrar Karta Hai Us Se Umeed Hoti Hai, Us Se Umeed Hoti Hai Kisi K Muskarane Ki, Kisi K Muskarane Aur Phir Nazrain Jhukane Ki, Inhi Jhukti Hoi Nazron Se Us K Aah Bharne Ki, Wo Jo Iqrar Karta Hai Usay Umeed Hoti Hai, Haan Jo Iqrar Karta Hai Usay Umeed Hoti Hai, Us Se Umeed Hoti Hai K Wo Nakaam Na Ho Ga, Us Se Umeed Hoti Hai K Wo Badnaam Na Ho Ga, Us Se Umeed Hoti Hai K Jo Sapna Us Ne Dekha Hai, Wo Sapna Aik Din Sharminda-e-Tabeer Hon Gay Wo Sapne Jin Mein Us Ne Khud Ko, Bahut Masroor Dekha Hai, Wo Sapna Jis Mein Us Ne Ek Hasseen Chehre Ko Dekha Hai, Wo Chehra Jis Pe Bal Khati Zulfon Ka Pehra Hai, Wo Chehra Jis Pe Do Aankhon Ka, Kala Rang Ghehra Hai Wo Chehra Jis Pe, Do Hanste Howe Se Lab Hain, Hazaron Phool Baraste Hain, Wo Lab Jab Bolte Hain Wo Lab, ...

Aaja Main Hawaon Pe Betha K Le Chalon

     Aaja Main Hawaon Pe Betha K Le Chalon, Too Hi To Meri Dost Hai, Aaja Main Khayalon Mein Utha K Le Chalon, Too Hi To Meri Dost Hai, Awaz Ka Daria Hon Behta Hon, Main Neeli Raton Mein, Main Jagta Rehta Hon, Neend Bhari Jheel Si Aankhon Mein, Awaz Hon Main, Aa Ja Main Hawaon Pe Bitha Ke Le Chalon, Too Hi To Meri Dost Hai, Rat Mein Chandni Kabhi Aisi Gungunati Hai, Sun Zara Lagta Hai Tum Se Awaz Milati Hai, Main Khayalon Ki Mehek Hon, Gungunate Howe Saz Par, Ho Sake To Mila Le Awaz Ko Le Saz Par, Aa Ja Main Hawaon Pe Bitha K Le Chalon, Too Hi To Meri Dost Hai, Aa Ja Main Khayalaon Mein Utha k Le Chalon, Too Hi To Meri Dost Hai, O Kabhi Kehta Hai Sahil Jahan Sham Utarti Hai, Kehte Hain Samandar Se Ek Pari Guzarti Hai, Wo Rat Ki Rani Hai Sargam Par Chalti Hai, Aa Ja Main Hawaon Pe Bitha K Le Chalon, Too Hi To Mera Dost Hai.........!    

Char Dino Ka Pyar O Rabba Lambi Judai Lambi Judai

Image
    Char Dino Ka Pyar O Rabba Lambi Judai Lambi Judai, Tere Bin Dil Mera Laage Kahein Na, Tere Bin Jan Meri Jaye Kahein Na, Kitne Zamane Baad O Rabba, Yad Too Aaya Yad Too Aaya, Khoya Raha Main Sason Mein Apne, Aahat Bhi Teri Bhool Gaya Mein, Kitna Jeeia Hon Tanha Raha Hon, Ishq Tera Bhool Gia Hon Khoya Raha Mein, Sason Mein Apne Aahat Bhi Teri Bhool Gia Main, Kitna Jeeia Hon Tanha Raho Hon, Ishq Tera Bhool Gia Hon Uljha Raha Main Is Zindagi Mein, Dil Ki Duhai Dil Ki Duhai, Tere Bin Dil Mera Laage Kahein Na, Tere Bin Jan Meri Jaye Kahein Na, Kitne Zamane Baad O Rabba, Yad Too Aaya Yad Too Aaya, O Rabba Rabbaa, Char Dino Ka Pyar O Rabba Lambi Judai Lambi Judai, Tere Bin Dil Mera Laage Kahein Na, Tere Bin Jan Meri Jaye Kahein Na, Kitne Zamane Baad O Rabba, Yad Too Aaya Yad Too Aaya, Har Bebasi Mein Is Zindagi Ne, Tujh Ko Hi Chaha Tujh Ko Hi Manga, Jin Raston Se...

Iblees Ki Majlis-E-Shoora

  Iblees Ki Majlis-e-Shura*_* <.....1936.....> TEXT BY TANHA_KHAKI       Poet Sir Dr. Allama Muhammad Iqbal <...>Iblees<....> Ye Anasir Ka Purana Khail, Ye Dunya-e-Doon...!< '*' Sakinan-e-Arsh-e-Azam Ki Tamanaon Ka Khoon...!< '*' Mein Ne Dikhlaya Farangi Ko Mulukiyat Ka Khawab...!< '*' Mein Ne Tora Masjid-o-Dair-o-Kalisa Ka Fusoon...!< '*' Mein Ne Nadaron Ko Sikhlaya Sabaq Taqdeer Ka...!< '*' Mein Ne Muneim Ko Diya Sarmayadari Ka Junoon...!< '*' Kon Kar Sakta Hai Uss Ki Aatish Soozan Ko Sard...!< '*' Jis Ke Hungamon Mein Ho Iblees Ka Souz-e-Daroon...!< '*' Jis Ki Shakhain Hon Humari Aabiyari Se Buland...!< '*' Kon Kar Sakta Hai Uss Nakhl-e-Kuhan Ko Ser Nigoon...!< '*' <...>Pehla Musheer<...> '*' Iss Mein Kya Shak Hai Ke Muhkam Hai Ye Ibleesi Nizam...!< '*' Pukhta...

Kuch Bekhabar Se Aap Hain Kuch Bekhabar Se Hum

Image
    Poet: Ayaz Khan Type By *._Ayaz Khan_.* Be Aabro Ho K Nikle Tere Dil K Ghar Se Hum. Ab K Rote Howe Aaye Hain Tere Dar Se Hum. Thay Hum Bhi Kabhi Muntazar Nazron Ka Arman. Tapke Aanson Ki Tarah Teri Chashm-E-Tar Se Hum. Ye Jo Zakham Hain Mere Dil Pe Lage Howe. Guzar K Aaye Hain Laho K Daria Par Se Hum. Tishnagi Hai Ab Tak Labon Pe is Qadar. Doob K Pyase Hi Nikle Samadar Se Hum. Dil Ki Baton Ko Ab Kaise Kahen Kisi Se. Kuch Bekhabar Se Aap Hain, Kuch Bekhabar Se Hum, Chup Hain Teri Berurkhi K Dar Se Hum. Meri Hasraton K Sub Hi Gulab Julas Gaye Hain. AYAZ Jab Se Gire Hain Teri Nazar Se Hum.....!   

Khusbo Badal PhooL Hawa Kalian Shabnam Tere Naam

  ======== SALGIRA ========    Poet Fiza Batool    Khusbo Badal PhooL Hawa Kalian Shabnam Tere Naam Dost Salgira Ki Sari Khushian Sab Hain Tere Naam Jhilmil Karta Neela Paani Jag Mag Karte Chaand Or Jugno Raat Ki Raani Taare Kirnein Chanda Poonam Tere Naam Es Saalgira Par Tujhko Kiya Tohfa Paish Karoon Dost Mera Dil Meri Dhaddkan Meri Jaan Meri Wafa Sab Tere Naam.    

Resham Zulfo Nilam Aankhon Wale Ache Lagte Hain

Image
    + Resham Zulfo Nilam Aankho'n Wale Ache Lagte Hain, + Main Shaaiyar Hon Mujhe Uljhay Chehray Ache Lagte Hain, + Tum Socho Adhi Raat Ko Thanday Chand Ki Chao'n Main, + Tanha Raho Par Hum Dono Kitne Ache Lagte Hain, + Akhir Akhir Sache Qoul Bhi Chubte Hain Dil Walo Ko, + Pehle Pehle Piyar K Jhonte Wade Ache Lagte Hain, + Jb Se Wo Pardais Gaya Shehar Ki Ronaq Roth Gai, + Ab To Apne Ghar K Band Darichay Ache Lagte Hain, + Kali Raat Main Jagmag Karte Taare Kon Bujhata, + Is Dhulhan Ko Ye Moti Ye Gehne Ache Lagte Hain, + Kal Us Rothay Rothay Yaar Ko Dekha To Mehsos Hoa, + Ujhle Jisam Pe Kale Kapre Ache Lagte Hain..    Ref:==> Dr Saqib Arsalan     

Son Li Jo KHUDA Ne Wo Dua Tum To Nahi Ho

  Poet: Dr Bashair Badar Type By *._Ayaz Khan_.*   Son Li Jo KHUDA Ne Wo Dua Tum To Nahi Ho. Darwaze Pe Dastak Ki Sada Tum To Nahi Ho. Simti Hoi Sharmai Hoi Raat Ki Rani. Soi Hoi Kaliyon Ki Haya Tum To Nahi Ho. Mehsoos Kia Tum Ko To Gili Hoien Palkain. Bheege Howe Musam Ki Ada Tum To Nahi Ho. in Ajnabi Rahon Mein Nahi Koi Bhi Mera. Kais Ne Muje Yuon Apna Kaha Tum To Nahi Ho.........!   Book: Aahat Page: 13 Ghazal: 3   

Is Eid Par Lal Gulab La Do Na Phir Mere Baalon Mein Saja Do

Image
Poet Zahid Rahi Is Eid Par Lal Gulab La Do Na Phir Mere Baalon Mein Saja Do Na Wo Kehti Thi Eid Par Aik Kitab Behjon Gi Mera Naam Us Mein Likh Do Na Agr Pyar Hai Mujh Se Tum Ko Meri Ye Sooni Si Kalai Saja Do Na Aankhain Hain Kajal Ko Tarsi Hoi Apni Chahat Ka Surma Pawa Do Na Hont Hain Khushk Ye Piyar K Pani Ko Apni Mohabbat Ki Surkhi In Pay Saja Do Na Hath Hain Mere Soone Mehndi k Rang Se Choom Choom K In Ko Mehndi Rang Bna Do Na Pair Bhi Tarstay Hain Jhankar Ko Is Eid Pay Apne Hathon Payal Pehna Do Na Har Eid Pay Matmi Labas Pehnti Hon Mein Laal Joura Pehna K Mohabbat Ki Muhar Laga Do Na Is Eid Pe Mujhe Gulab La Do Na Phir Apne Hathon Se Mere Baalon Mein Saja Do Na..........!

Wafa K Naam Ek Dastan Likh Rahi Thi

Image
    ============= DASTAN-E-WAFA =============    Poetess Perven Shakir    Wafa K Naam Ek Dastan Likh Rahi Thi, Mushkil Lafzon Ko Aasan Likh Rahi thi, Wafa Ki Talash Mein Sara Jahan Likh Rahi Thi, NA Mili Wafa To Lafaz Nakaam Likh Rahi Thi, Nahi Milty Dhondne Se Bhi Wafa Karne Waly, Is Liye Sary Jahan Ko Bewafa Likh Rahi Thi, Na Karna Pyar Kabhi Zindagi Mein "Mery Dost" Milti Hai Pyar Mein Ruswai Ye Bar Bar Likh Rahi Thi, Q Karty Hain Pyar Mein Itny Wadey Log Perveen, Payar Mein Totey Howay Wadey Hazar Likh Rahi Thi............!   

Titlion Ka Mujhe Toota Howa Par Lagta Hai

  Poet: Dr Basheer Badar   Titlion Ka Mujhe Toota Howa Par Lagta Hai. Dil Pe Wo Naam Bhi Lekhte Howe Dar Lagta Hai. Raat Aai To Sitaron Bhari Chadar Tani. Khubsurat Mujhe Suraj Ka Safar Lagta Hai. Ye Bhi Sote Howe Bache Ki Tharah Hansta Hai. Aag Mein Phol Farishton Ka Hunar Lagta Hai. Zindagi To Ne Mujhe Qabar Se Kam Di Hai Zameen. Paon Phelaoon To Diwaar Mein Sar Lagta Hai. Mein Tere Sath Sitaron Se Guzar Sakta Hoon. Kitna Aasan Muhabbat Ka Safr Lagta Hai. Mujh Mein Rehta Hai Koi Dushman-e-Jani Mera. Khud Se Tanhai Mein Milte Howe Dar Lagta Hai. Boot Bhi Rakhe Hain, Namazen Bhi Ada Hoti Hain. Dil Mera Dil Nahi, KHUDA Ka Ghar Lagta Hai........!   Bk: Aass Pg: 99 to 100 Gzl: 46   

Too Ne Dekha Hai Kabhi Ek Nazar Sham K Baad

  Poet Farhat Abbas Shah    Too Ne Dekha Hai Kabhi Ek Nazar Sham K Baad, Kitane Chup Chap Se Lagte Hain Shajar Sham K Baad, Too Hai Soraj Tujhe Maloom Kahan Rat Ka Dukh, Too Kisi Roz Mere Ghar Mein Utar Sham K Bad, Laut Aaye Na Kisi Roz Wo Aawara Majaz, Khol Rakhate Hain Isi Aas Pe Dar Sham K Bad..............!  

Dedicated To My Friend Dr Saqib Arsalan

Samjhe Thay Hum Jo Dost Tujhe Aaye Miyaan Ghalat...* Tera Nahi Hai Juram Humara Gumaan Ghalat....! (Kashif Nadeem)

Kuch To Hawa Bhi Sard Thi Kuch Tha Tera Khayal Bhi

Image
    Poetess Parveen Shakir    Kuch To Hawa Bhi Sard Thi Kuch Tha Tera Khayal Bhi, Dil Ko Khushi K Sath Sath Hota Raha Malaal Bhi, Bat Wo Aadhi Rat Ki Rat Wo Poore Chand Ki, Chand Bhi Ain Cheet Ka Us Pe Tera Jamal Bhi, Sab Se Nazar Bacha K Wo Mujh Ko Kuch Aise Dekhta, Aik Dafa To Ruk Gai Gardis-E-Maah-O-Saal Bhi, Dil To Chamak Sake Ga Kia Phir Bhi Tarsh K Dekh Lein, Sheesha Giran-E-Shehr K Hath Ka Ye Kamal Bhi, Us Ko Na Pa Sake Thay Jab Dil Ka Ajeeb Haal Tha, Ab Jo Palat K Dekhiye Bat Thi Kuch Mahaal Bhi, Meri Talab Tha Aik Shakhs Wo Jo Nahi Mila To Phir, Hath Dua Se Youn Gira Bhool Gia Sawal Bhi, Us Ki Sukhan Tarzian Mere Liye Bhi Dhal Thein, Us Ki Hansi Mein Chup Gia Apne Ghamon Ka Haal Bhi, Gaah Qareeb-E-Shah Rag Gaah Baeed-E-Weham-E-Khawab, Us Ki Rafaqaton Mein Rat Hijar Bhi Tha Wisaal Bhi, Us K Hi Bazo'on Mein Aur Us Ko Hi Sochte Rahe, Sham Ki Na Samjh Hawa Pooch Rahi Ek Pata, Moj-E-Hawa-E-Koo-E-Yar Kuch To Mera Kha...

Kabhi Youn Bhi To Ho Daria Ka Sahil Ho

  Poet Wasi Shah    Kabhi Youn Bhi To Ho Daria Ka Sahil Ho, Poore Chand Ki Rat Ho Aur Tum Aao, Kabhi Youn Bhi To Ho, Kabhi Youn Bhi To Ho, Parion Ki Mahfil Koi Tumhari Bat Ho, Aur Tum Aao Kabhi Youn Bhi To Ho, Kabhi Youn Bhi To Ho Ye Naram Mulaim, Thandi Hawain Jab Ghar Se Tumhare Guzrain, Tumhari Khushbo Churian Mere Ghar Le Aain, Kabhi Youn Bhi To Ho, Kabhi Youn Bhi To Ho, Sooni Har Mahfil Ho, Koi Na Mere Sath Ho Aur Tum Aao, Kabhi Youn Bhi To Ho, Kabhi Youn Bhi To Ho, Ye Badal Aise Toot K Barse, Mere Dil Ki Tarha Tumhara Dil Bhi Tarse, Tum Niklo Udhar Se Kabhi Youn Bhi To Ho, Kabhi Youn Bhi To Ho Tanhai Ho Dil Ho, Boondain Ho Barsat Ho Aur Tum Aao, Kabhi Youn Bhi To Ho, Kabhi Youn Bhi To Ho, Daria Ka Sahil Poore Chand Ki Rat Ho Aur Tum Aao, Kabhi Youn Bhi To Ho, Kabhi Youn Bhi To Ho.............!  

Us K Rukhsaar Pe Ek Ashk Ki Aawara Gardi

Us K Rukhsaar Pe Ek Ashk Ki Aawara Gardi,, Hum Ne Yaqoot K Seenay Pe Smandar Dekha...

Mujhe Ahbab Ki Lambi Qataron Se Nahi

Mujhe Ehbaab Ki Lambi Qitaaron Sy Nahi Matlab...!! +..Agr Tum Dil Sy Mere ho To Bus Ik Tum Hi Kafi Ho....!!

Kisi Sarnago Si Tehni Pe Rakh Lain Gay Chaar
Tinke

Kisi Sarnago Si Tehni Pe Rakh Lain Gay Chaar Tinke + Na BuLanD ShaaKh HoGi + Na GireY Ga AashiYaana......*

Mujh Ko Bhi Meri Asal Raah Dekha Do Yaro

  Poet Wasi Shah    Mujh Ko Bhi Meri Asal Raah Dekha Do Yaro, Pehna K Mujhe Meri Hi Ghurbat Ka Kafan, Un Pe Surkh Jora Saja Do Yaro, Naam Likh Do Un Ka Khushion Ki Deewar Par, Mera Naam-O-Nishan Dunia Se Mita Do Yaro, Waqat Aakhiri Hai Teri Dunia Mein Is Deewane Ka, Ho Sake To Mere Mehboob Ko Bata Do Yaro, Suna Hai Aaj Us Ki Doli Is Gali Se Guzar Jaye Gi, WASIII Meri Maiyat Ko Is Raste Se Hata Do Yaro..........................!   

Wo Hijar Thehra Wisaal Thehra Kia Aadmi Tha

Image
    Poet Rafeeq Saeed   Wo Hijar Thehra Wisaal Thehra, Kia Aadmi Tha Kamaal Thehra, Afsurdagi K Har Ek Nagar Mein, Wo Qeh Qahon Ki Misaal Thehra, Wo Kis Ki Khatir Guzar Gia Hai, Sab Ki Khatir Sawal Thehra, Haan Us K Lehje Ki Tazgi Se, Jo Khawab Tha Wo Khayal Thehra, Kahan Se Lain Rafeeq Tujh Sa, Muhabbaton Mein Zawal Thehra, Too Ne Hum Ko Ye Dukh Dia Hai, K Ab To Jeena Mohaal Thehra....................!     

Dekha K Waqt Ne Kartab Madarion Wale, Bhula Diye Mujhe Din Beqararion Wale,

Image
Poet Ibn-E-Insha Dekha K Waqt Ne Kartab Madarion Wale, Bhula Diye Mujhe Din Beqararion Wale, Kuch Aur Onchi Urano Mein Le Gaye Tujh Ko, Ye Mere Taur Tareeqe Pujarion Wale, Main Tujh Ko Haar K Aise Na Zindagi Karta, Agar Na Hosle Hote Juwarion Wale, Kisi K Lams Ne Matti Ko Kar Dia Sona, Humare Hath Mein Qaasay Bhikarion Wale, Nishana Baaz To Pehle Bhi Wo Ghazab Ka Tha, Ab Aa gaye usay Gur Bhi Shikarion Wale.....................!  

Jo Qurbaton K Nashe The Wo Ab Utarne Lage

Image
    Poet: Ahmad Faraz Type Bay *._Ayaz Khan_.*    Jo Qurbaton K Nashe The Wo Ab Utarne Lage. Hawa Chali Hai To Jhonke Udas Karne Lage. Gai Ruton Ka Taluq Bhi Jaan Leva Tha. Bahut Se Phol Naye Mosamon Mein Marne Lage. Wo Mudaton Ki Judai K Bad Hum Se Mila. To is Tharah Se K Ab Hum Guraiz Karne Lage. Ghazal Mein Jaise Tere Khad-O-Khaal Bool Uthen. K Jais Tarah Teri Tasveer Baat Karne Lage. Bahut Dinon Se Wo Ghambeer Khamshi Hai FARAZ. K Log Apne Khayalon Se Aap Darne Lage. Book: Jaana Jaana Page: 121 Ghazal: 57   

Largist Mukalma Ahmad Faraz 34 Parts

Image
    Poet Ahmad Faraz Type By   AYAZ KHAN    Sipahi Kahan Hon, Mere Jisam Par Bojh Kaisa Hai, Kia Main Paharon K Neeche Daba Hon, Meri Sans Kion Ruk Rahi Hai, Ye Thandak Rag-O-Pay Mein Kion Hai, Mere Bazoo'n Mein Sakat Hai, Na Honton Mein Janbish Ka Yara, Na Aankhon Mein Hi Roshni Hai Chatano, Ki Sorat Gar Anbaar Palkain Uthane Se Aari, To Kia Meri Beenai Bhi Ja Chuki Hai,? Na Chere Na Manzar, Na Koi Sada Hai, Ye Kia Hai, Mujhe Apni Awaz Bhi Ajnabi Lag Rahi Hai, Faqt Dhund Hi Dhund, Aur Barf K Bekaraan Saibaan Chaar Soo Hain, Ye Sakraat Ka Pal Hai, Ya Mujh Pe Kaboos Saya Kanaan Hai, Ye Kia ......? Mere Bazo Mein Kion Dard Ki Lehr Uthi, Main Zinda Hon Lekin, Badan Barf Mein Dafan Hai, Aur Chehra Mera Ze Mehreeri, Hawaon Se Sun Ho Chuka Hai, Kisi Ko Khabar Tak Na Ho Gi, K Main Is Pahari Ki Choti Pe Zakhmon Se, Chalni Para Hon Koi Mehrbaan Hath, Humdard Bazo Nahi Hai, Jo Us Kura-E-Marg Se M...