Jo Qurbaton K Nashe The Wo Ab Utarne Lage

 

 

Poet: Ahmad Faraz

Type Bay

*._Ayaz Khan_.* 

 

Jo Qurbaton K Nashe The Wo Ab Utarne Lage.

Hawa Chali Hai To Jhonke Udas Karne Lage.

Gai Ruton Ka Taluq Bhi Jaan Leva Tha.

Bahut Se Phol Naye Mosamon Mein Marne Lage.

Wo Mudaton Ki Judai K Bad Hum Se Mila.

To is Tharah Se K Ab Hum Guraiz Karne Lage.

Ghazal Mein Jaise Tere Khad-O-Khaal Bool Uthen.

K Jais Tarah Teri Tasveer Baat Karne Lage.

Bahut Dinon Se Wo Ghambeer Khamshi Hai FARAZ.

K Log Apne Khayalon Se Aap Darne Lage.

Book: Jaana Jaana

Page: 121

Ghazal: 57 

 

Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Ik Main Pheeki Chaah Naein Peenda Doja Thandi Chaah Naein Peenda

Hum Ne Tujhe Jana Hai Faqat Teri Aata Se Woh Hamdia Kalam Jis Ki Aawaz Aur Kalam Ko Allama Iqbal Se Mansoob Kia Jata Hai