Main Shakh Se Urra Tha Sataron Ki Aas Mein

 

 

Main Shakh Se Urra Tha Sataron Ki Aas Mein,

Murjha K Aa Gira Hon Magar Sard Ghaas Mein,

SochO To SilwatOn Se Bharii Hai Tamaam Ruhh

DekhO To Ek Shikann Bhi Nahi Hai Libaas Mein..

Sehraa Ki Bood-O-Baash Hai, AchhiNa Kiun Lage

Sookhi Hui Gulaab Ki Tehni Glaass Mein..

Chamke Nahi Nazar Mein Abhi Naqsh Door Ke

MasrOOf Hun Abhi Aml-E-In'akaas Mein..

DhOke Se Us Hasseen Ko Agar ChOOm Bhi Lia

PaaO Ge Dil Ka Zehr LabbOn Ki Mithaas Mein..

Taara Koi Riwaa-E-Shab-E-Abr Mein Na Tha

Betha Tha Main Udaas Bayabaan-E-Yaas Mein..

Ju-?e-Rawaan-?e-Dasht ! Abhi Sookhna Nahi

Saawan Hai Door Aur Wahi ShiddatHai Peyaas Mein..

Rehta Tha SaamNe Tra Chehra Khula Hua

Parrhta Tha Main Kitaab Yahi Her Claass Mein..

KaantOn Ki Baarr Phaand Gya ThaMagar Jan??

Rasta Na Mil Saka Mujhe PhOOlOn Ki Baas Mein....!

 

 

Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Ik Main Pheeki Chaah Naein Peenda Doja Thandi Chaah Naein Peenda

Hum Ne Tujhe Jana Hai Faqat Teri Aata Se Woh Hamdia Kalam Jis Ki Aawaz Aur Kalam Ko Allama Iqbal Se Mansoob Kia Jata Hai