Tum Pyar Karna To Iqrar Mat Karna,
Bahut Hi Door Kahein Wadion Se Ye Sadaa Aai,
K Jab Tum Pyar Karna To Iqrar Mat Karna,
K Jo Iqrar Karta Hai Us Se Umeed Hoti Hai,
Us Se Umeed Hoti Hai Kisi K Muskarane Ki,
Kisi K Muskarane Aur Phir Nazrain Jhukane Ki,
Inhi Jhukti Hoi Nazron Se Us K Aah Bharne Ki,
Wo Jo Iqrar Karta Hai Usay Umeed Hoti Hai,
Haan Jo Iqrar Karta Hai Usay Umeed Hoti Hai,
Us Se Umeed Hoti Hai K Wo Nakaam Na Ho Ga,
Us Se Umeed Hoti Hai K Wo Badnaam Na Ho Ga,
Us Se Umeed Hoti Hai K Jo Sapna Us Ne Dekha Hai,
Wo Sapna Aik Din Sharminda-e-Tabeer Hon Gay
Wo Sapne Jin Mein Us Ne Khud Ko,
Bahut Masroor Dekha Hai,
Wo Sapna Jis Mein Us Ne Ek Hasseen Chehre Ko Dekha Hai,
Wo Chehra Jis Pe Bal Khati Zulfon Ka Pehra Hai,
Wo Chehra Jis Pe Do Aankhon Ka,
Kala Rang Ghehra Hai Wo Chehra Jis Pe,
Do Hanste Howe Se Lab Hain,
Hazaron Phool Baraste Hain,
Wo Lab Jab Bolte Hain Wo Lab,
Jin Se Nikalte Howe Alfaz Jo Sun Le Wo,
Bas Ulfat Mein Par Jaye
Hazaron Khawab,
Wo Ban Le Kis Se Kaise Bataye Us K Hai Lehje Ka
Asar Kia,
K Jaise Barson Se Pyasi Kisi Zameen Pe Barish,
K Jaise Sadion Se Bejan Jisam Par,
Dam-e-Eesa Wo Haseen Aur Wo,
Khud Ek Chote Se Ghar Mein Rehti Hain,
Wo Dono Choti Choti Baton Pe Roz Hansti Rehti Hain,
Wo Chota Ghar K Jahan Har Taraf Khushian Hi Khushian Hain,
Wo Chota Ghar Jahan Har Taraf Hi Pyar Ayaan Hai,
Ye Sapne Wo Hi Bunta Hai Jis Se,
Umeed Hoti Hai K Sapne Aik Din,
Sharminda-e-Tabeer Bhi Hon Gay,
Magar Aisa Na Ho To Phir
Agar Aisa Na Ho To Phir,
Wo Sapne TooT jain To Wo Gar Nakaam Ho Jaye To,
Wo Lab Na Muskarain To
Agar Aisa Na Ho To Phir,
Agar Aisa Na Ho To Phir Bahut Takleef Hoti Hai,
So Jab Tum Pyar Karna To Kabhi Iqrar Mat Karna,
K Jo Iqrar Karta Hai Us Se Umeed Hoti Hai,
K Jo Iqrar Karta Hai Us Se Takleef Hoti Hai.............!
Comments
Post a Comment