Kabhi Youn Bhi To Ho Daria Ka Sahil Ho

 

Poet Wasi Shah 

 

Kabhi Youn Bhi To Ho Daria Ka Sahil Ho,

Poore Chand Ki Rat Ho Aur Tum Aao,

Kabhi Youn Bhi To Ho,

Kabhi Youn Bhi To Ho,

Parion Ki Mahfil Koi Tumhari Bat Ho,

Aur Tum Aao Kabhi Youn Bhi To Ho,

Kabhi Youn Bhi To Ho Ye Naram Mulaim,

Thandi Hawain Jab Ghar Se Tumhare Guzrain,

Tumhari Khushbo Churian Mere Ghar Le Aain,

Kabhi Youn Bhi To Ho,

Kabhi Youn Bhi To Ho,

Sooni Har Mahfil Ho,

Koi Na Mere Sath Ho Aur Tum Aao,

Kabhi Youn Bhi To Ho,

Kabhi Youn Bhi To Ho,

Ye Badal Aise Toot K Barse,

Mere Dil Ki Tarha Tumhara Dil Bhi Tarse,

Tum Niklo Udhar Se Kabhi Youn Bhi To Ho,

Kabhi Youn Bhi To Ho

Tanhai Ho Dil Ho,

Boondain Ho Barsat Ho Aur Tum Aao,

Kabhi Youn Bhi To Ho,

Kabhi Youn Bhi To Ho,

Daria Ka Sahil Poore Chand Ki Rat Ho Aur Tum Aao,

Kabhi Youn Bhi To Ho,

Kabhi Youn Bhi To Ho.............!

 

Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Ik Main Pheeki Chaah Naein Peenda Doja Thandi Chaah Naein Peenda

Hum Ne Tujhe Jana Hai Faqat Teri Aata Se Woh Hamdia Kalam Jis Ki Aawaz Aur Kalam Ko Allama Iqbal Se Mansoob Kia Jata Hai