Kal Hamesha ki Tarh Us Ne Kaha Ye Phone Par

 

 

========

Last Call

========

Poet Wasi Shah 

 

Kal Hamesha ki Tarh Us Ne Kaha Ye Phone Par,

Main Bahut Masroof Hon Mujh ko Bahut se Kam Hain,

Is liye Tum Aao Milne Main To Aa Sakti Nahi,

Har Riwayat Tor Kar is Bar Maine Keh Dia,

Tum Jo Masrof Ho To Main Bhi Masroof Hon,

Tum jo Mash'hoor Ho To Main Bhi Ma'arof Hon,

Tum Agr Ghamgeen Ho Main Bhi Bahut Ranjoor Hon,

Tum Thakan se Choor To Main bhi Thakan se Choor Hon,

Jaan-E-Man hai Waqt Mera Bhi Bahut Qeemati,

Kuch Purane Dosto Ne Milne Ana Hai Abhi,

Main bhi ab Farigh Nahi Mujh ko bhi Lakhon Kam Hain,

Warna Kehne Ko To Sab Lamhe Tumhare Nam Hain,

Meri Aankhain Bhi Bahut Bojhal Hain Sona Hai,

Mujhe Rat jagon k Bad Ab Neendon Mein Khona Hai Mujhe,

Main Laho Apni Anaon Ka Baha Sakta Nahi,

Tum Nahi Aati To Milne Main Bhi Aa sakta Nahi,

Usko ye Keh Ke Wasi Main Ne Reciever Rakh Dia,

Aur Phir Apni Ana K Paon Pe sar Rakh Dia.......?

Book

Mere Ho K Raho 

 

No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo