Main Aur Sajda Kisi Sang-E-Aastan K Liye

 

 

Poet: Rais Amrohi 

 

Main Aur Sajda Kisi Sang-E-Aastan K Liye.

Agar Zameen Pe Jhukon Ga To Aasman K Liye.

Wahein Wahein Tere Aariz Pe Hai Litafat-E-Rang.

Nigah-E-Shoq Ne Boose Jahan Jahan K Liye.

Bus Aik Nidamat-E-Ifsha-E-Raaz Hi To Nahi.

Hazaar Tarah K Khatray Hain Raaz'Daan K Liye.

Shameem Gul Ye Safar Kis Ko Raas Aaya Hai.

Ye Tu Nasheman-E-Gul Se Chali Kahan K Liye.

Kabhi Kabhi To Mukamal Sukoot Lazim Hai.

Muamlaat-E-Muhabbat K Tarjuman K Liye.

Najane Kab Se Mera Dil Wujood-E-Qatar Main.

Dadhak Raha Hai Kisi Bher-E-Be'Karan K Liye.

Kiye Hain Sirf Baharon Ne Ghanch-O-Gul Main.

Kahan Kahan K Ishaaray Kahan Kahan K Liye.

 

 

Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Ik Main Pheeki Chaah Naein Peenda Doja Thandi Chaah Naein Peenda

Wo mujh ko dastiyaab bari dair tak raha Main uska intkhaab bari dair tak raha